ussay apnay farda ki fikker thee woh jo mera waaqif-e-haal tha
woh jo us ke shab-e-Urooj the,wohee mera waqt-e-zawal tha
mere baat kaisai woh maanta ,mere baat kaisai woh jaanta
woh to khud fana kay saffar main tha ,ussay rokna mahal tha
jo us kay paas agya wohe Roshnee main naha gaya
ajab us ka haibt-e-hussan tha jab us ka rang-o-jamal tha
main pooch pooch ker thak gya mujhay chor ker kahan jaao gay
woh jawab tuk na day saka ,woh to khud sarapa sawal tha
dam-e-wapse yeh kia hoa , na woh roshne na woh taazgee
woh sitaara kaisai bikhar gaya ,jo apni misaal app tha
barsooN bad milla bhi to mere lub per kio Gilla na tha
mere Chup nay ussay Rula diya jissay Guftgu main kamaal tha
mere gallay say lug ker ro diya.,faqat itna woh keh saka
jissay jaanta tha main Zindgee, woh to wahm-o-khiyal tha