Mere Auqaat Kya

meri auqaat kya
mere din raat kya…

reza reza badan
qatra qatra lahu
tukray tukray ziddein
raaegaa’n justaju
lamha lamha safar
bay-samar aarzu
aik aawaargi
sar-basar ku-baku

mere zer-e-nagee’n
kab koi aasmaa’n
kab koi sar-zamee’n
mera malboos-e-jaa’n
khaak ki aastee’n

is liyey jaan-e-man
bhool kar ehd-e-jaa’n
chor kar shehr-e-tan
tor kar bay-khalal
dard ki har rasan
mujh say bay-saakhta
bay-niyaaz-e-wafa

cheen kar bay-sabab
saya-e-zulf-o-lab
mujh se kar k juda
apna band-e-qaba
tu ne acha kia

meri auqaat kya
mere din raat kya…

Re: Mere Auqaat Kya

tor kar bay-khalal
dard ki har rasan
mujh say bay-saakhta
bay-niyaaz-e-wafa

wah! nice one tum bin :k:

Re: Mere Auqaat Kya

**cheen kar bay-sabab
saya-e-zulf-o-lab
mujh se kar k juda
apna band-e-qaba
tu ne acha kia

meri auqaat kya
mere din raat kya…**

its amazing :lajawab:

Re: Mere Auqaat Kya

Really Really Amazing…
Bohat Umdaa:k:

Re: Mere Auqaat Kya

Buhat khoob.. :k:

Re: Mere Auqaat Kya

Simply Superb.. Very Beautiful.. :bb:

Re: Mere Auqaat Kya

thanks :bb:

Re: Mere Auqaat Kya

haayyyyeee :blush:

:@:

Re: Mere Auqaat Kya

thanks :slight_smile:

Re: Mere Auqaat Kya

thanks :slight_smile:

Re: Mere Auqaat Kya

Thanks :slight_smile:

Re: Mere Auqaat Kya

Whenever I see your nick, tum_bin, I start humming...tum bin jia udaas.... Lovely song na :)

Re: Mere Auqaat Kya

i dont like this song :)

Re: Mere Auqaat Kya

^ pasand apni, apni :)

Re: Mere Auqaat Kya

sahe farmaya aap nay :)

Re: Mere Auqaat Kya

Nice.

Re: Mere Auqaat Kya

:cb:

Re: Mere Auqaat Kya

Mein Ne ShAre KI ThI kAbI yEh NaZAm it mEans k bohat achI NazAm HAI :k:

Re: Mere Auqaat Kya

Thanks taliba :)

Re: Mere Auqaat Kya

:slight_smile: