zakham gehra laga hay ankhoN maiN
meray supnay yooN toot ker bikhera-y
zindagee mujh say khoh gaee hay kaheeN
zindagee bun k, jub say tum bichera-y
shaam aksar udass rehtee hay
tera anchal na teri zulf bikhera-y
written by
show_sha
zakham gehra laga hay ankhoN maiN
meray supnay yooN toot ker bikhera-y
zindagee mujh say khoh gaee hay kaheeN
zindagee bun k, jub say tum bichera-y
shaam aksar udass rehtee hay
tera anchal na teri zulf bikhera-y
written by
show_sha
Mashallah aap ka apnaa Kalaam? bohaat acHa Kalaam hai
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif
keep it up
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif
MaiN ne kuch youN is kHayaal ko Qalam-Band kyia haiāarz karta hooN:-
** Tu ney Jo ZakHm Diya hai,usse mehkaata hooN
Harf-ba-Harf teri Baat ko dohraata hooN
Shayad aa jaye sulagne ka Saleeqa mujhko
Shaam hote hi CharaagHoN se lipaT jaata hooN
Teri YaadeiN meri sochoN se lipaT jaati haiN
Jab sar-e-Shaam kabhi lauT ke ghar aataa hooN **
Inshallah jald hi yeh mukamal gHazal Post karooNga
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif
**Ham Ehl-e-Qafas tanhaa bhi nahiN har roz Naseem-e-Subah-e-Watan
YaadoN se Mo`attar aati hai AshkoN se Munawwar jaati hai **
[This message has been edited by Tassneef (edited June 30, 2002).]