meRay sheRooN maiN wo al'haam ki suRat maiN utRa tha

***wohi gali'aaN wohi koochay wohi saRdi ka moasam hai*** ***isi andaaz se apna nizaam-e-zeest baRham hai***

ye husan-e-itfaaq aisa k nikhRi chandni bhi hai
wohi haR simat wayRani udasi tashnaghi see hai

wohi bheer soochooN ki wohi tanhaee’aN phiR se
musafiR ajnabi aur dasht ki pinhaaee’aN phiR se

meRi aankhooN maiN wo ik lamha moajood ab bhi hai
wo zinda raat meRay saath laa’khooN baaR jaaghi hai

kisi ne raat ki tanhaa’ee maiN saR ghoshi’aN ki thei
kisi ki naRam guftaaRi ne dil ko loori’aaN de thei

kisi ne meRi tanhaa’ee ka saaRa kaRab banta tha
kisi ne raat ki chunRi maiN roshaN chaad tanka tha

chamaktay jugno’ooN ka ik sail bakhsha tha raatooN ko
dhaRakta sa naya unwaaN dee’ya tha meRay khawabooN ko

meRay sheRooN maiN wo alhaam ki suRat maiN utRa tha
maa’ni buN k jo lufzooN maiN pahli baaR dhaRka tha

wo jis k honay se zindghi naghma saraa’ee hai
isay kahNa k dekho phir Nikami loat aa’ee hai :blush:

Re: meRay sheRooN maiN wo al’haam ki suRat maiN utRa tha

Hmmm…NikamiJi kahaN chupi beitthi theiN aap :frowning: Hum logoN sey likhwa, likhwa kar thaka diya aur apna likha aaj share kar rahi heiN aap hum sey :teary1:

Re: meRay sheRooN maiN wo al’haam ki suRat maiN utRa tha

Simply excellent poem NikamiJi You have always been unbelievably good :k: Har sheir hi bohat khoob hey, an all-gem-fitted poem. Thanx a million for sharing this beauty with us :slight_smile:

Re: meRay sheRooN maiN wo al’haam ki suRat maiN utRa tha

apni asi kismat kaha k ap ki tarha likh sakay bus lufz ki heri pheri ki hia wahan shaa’er ka naam nahi tha soocha gzal ko aik naya rang dya a jaiey jo bhool gaye nikami ko un ko yaad dila dya jaiey k k nikami ki tashraaf a chuki hia:blush: k tumhiN yaad ho k na yaad ho :teary1:

Re: meRay sheRooN maiN wo al’haam ki suRat maiN utRa tha

ab subha subha itni b taa’Reef na kaRaiN na :blush:

Re: meRay sheRooN maiN wo al’haam ki suRat maiN utRa tha

meRay sheRooN maiN wo alhaam ki suRat maiN utRa tha
maa’ni buN k jo lufzooN maiN pahli baaR dhaRka tha

wo jis k honay se zindghi naghma saraa’ee hai
***isay kahNa k dekho phir Nikami loat aa’ee hai


aray wahhhhhhhhhhhhhhhh :k:****

Re: meRay sheRooN maiN wo al'haam ki suRat maiN utRa tha

^ avataar nahi dekha ka bikul same he hia koi bhi faraq nahi :D

Re: meRay sheRooN maiN wo al'haam ki suRat maiN utRa tha

buhat achi ghazal post ki hey Nikami ji, thanku for sharing this beauty:-)

Re: meRay sheRooN maiN wo al'haam ki suRat maiN utRa tha

nice poem.. :)

you dun consider yourself as one of the Shora'-e-Gupshup?

Re: meRay sheRooN maiN wo al’haam ki suRat maiN utRa tha

jano gi wasay to sari ghazal bohat hi achi hai but this shair is simplyyyy beautiful!!!

wohi bheer soochooN ki wohi tanhaee'aN phiR se musafiR ajnabi aur dasht ki pinhaaee'aN phiR se

:k:

Re: meRay sheRooN maiN wo al'haam ki suRat maiN utRa tha

thanks Gul :)

Re: meRay sheRooN maiN wo al'haam ki suRat maiN utRa tha

it's not mine AQ...wo jus sardi ki jaga nikami likh dya mun main aya tu :p

Re: meRay sheRooN maiN wo al’haam ki suRat maiN utRa tha

aisa keoN phiR se shab…:halo:
thanks 4 liking:blush:
*

Re: meRay sheRooN maiN wo al'haam ki suRat maiN utRa tha


It's called Plagiarism

Re: meRay sheRooN maiN wo al’haam ki suRat maiN utRa tha

:hoonh: :halo:

Re: meRay sheRooN maiN wo al'haam ki suRat maiN utRa tha

ghalat nick saY post kar diyaa? :)

Re: meRay sheRooN maiN wo al’haam ki suRat maiN utRa tha

:halo: isi leay ap abhi taak kanwaray phir rahyak aik shaki mizaj admi Allah reham karey ap ki honay wali per :smiley:

Re: meRay sheRooN maiN wo al'haam ki suRat maiN utRa tha

nikamijano kay liay

main poochta hoon mairey galeey main aaiy kuoon
jis dakyaia kay pass terey chtyaan na hoon

Re: meRay sheRooN maiN wo al'haam ki suRat maiN utRa tha

tO GIVE UWarning Notice

Re: meRay sheRooN maiN wo al'haam ki suRat maiN utRa tha

Wah Jano jee aap tu chaa gayee :)