Dania
1
*Meray Qaatil Meray Dildaar Meray Paas Raho
Jis Ghari Raat Chalay
Aasmaanon Ka Lahuu Pee Ker Siaah Raat Chalay
Merham-E-Mushk Leay Nishter-E-Almaas Chalay
Bain Kerti Hui Hansti Hui Gaati Niklay
Dard Ka Kaasni Pazaib Bajati Niklay
Jis Ghari Seenon Main Doobtay Huay Dil
Aasteenon Main Nihaan Haathon Ki Raah Taknay Niklay
Aas Leay
Aur Bachon Ke Bilaknay Ki Tarah Qulqul-E-May
Behr-E-Na-Aasoodgi Niklay To Manaye Na Manay
Jab Koi Baat Banaye Na Banay
Jab Na Koi Baat Chalay
Jis Ghari Raat Chalay
Jis Ghari Maatami Sunsaan Siaah Raat Chalay
Paas Raho
Meray Qaatil Meray Dildaar Meray Paas Raho
(Faiz Ahmed Faiz)*
Sannan
2
Re: Meray Qaatil, Meray Dildaar Meray paas raho

nice sharing keep it up Dania :cobra:
Dania
3
Re: Meray Qaatil, Meray Dildaar Meray paas raho
← yeh karnay ki kya zaroorat thee?
Sannan
4
Re: Meray Qaatil, Meray Dildaar Meray paas raho
yah parah kay “*Meray Qaatil Meray Dildaar Meray Paas Raho”
*
Re: Meray Qaatil, Meray Dildaar Meray paas raho
Mehwish Hayat yaad agai 
Sannan
6
Re: Meray Qaatil, Meray Dildaar Meray paas raho
yah kissi daramay key actress hay kia 
Re: Meray Qaatil, Meray Dildaar Meray paas raho
Ji yeh Mere Qatil Mere Dildar main rone aati thi, ab rulana shru kardia hai, bilkul PPP ki tarah 
ehsan
8
Re: Meray Qaatil, Meray Dildaar Meray paas raho
Wah. :k: