Meray Pasandeeda Ashaar...

Re: Meray Pasandeeda Ashaar...

Tum Ne To Keh Dia Ke Mohabbat Nahi Mili
Hum Ko To Yeh Bhi Kehne Ki Mohlat Nahi Mili

Re: Meray Pasandeeda Ashaar...

Her Aik Baat Pe Kehte Ho Tum Ke Tuu Kia Hai
Tumhi Kaho Ke Ye Andaaz-e-Guftugu Kia Hai
Rug-on Main Dortay Phirnay Ke Hum Nahi Qaa-il
Jab Aankh He Na Tapka To Phir Lahuu Kia Hai

Re: Meray Pasandeeda Ashaar...

Mard Qaa-im Rabt-e-Millat Se Hai Tanha Kuch Nahi
Mauj Hai Darya Main Aur Bairoon-e-Darya Kuch Nahi

Re: Meray Pasandeeda Ashaar...

Koi Qaabil Ho To Hum Shan-e-Kaee Detay Hain
Dhoondnay Walay Ko Dunya Bhi Naee Detay Hain

Re: Meray Pasandeeda Ashaar...

Muddat Se Meri Maan, Soee Nahi Taabish
Mainay Ek Baar Kaha Tha 'Mujhe Dar Lagta Hai'

Re: Meray Pasandeeda Ashaar...

Manzil Manzil Dil Bhatkay Ka
Kaash Tumhi Ne Roka Hota..

Re: Meray Pasandeeda Ashaar...

Kia Log Thay Ke Jaan Se Barh Ker Azeez Thay
Abb Dil Se Mehev Naam Bhi Aksar Ke Hogaye

Re: Meray Pasandeeda Ashaar...

Gham Ki Tashreeh Buhat Mushkil Thi
Apni Tasveer Dikha Di Hum Nay

Re: Meray Pasandeeda Ashaar...

Uss Ke Ishq Main Bheeg Ke Logon Hum Ko Ye Ehsas Hua
Dil ke Baat Main Anay Walay Kuch Kuch Pagal Hotay Hain

Re: Meray Pasandeeda Ashaar...

Har Roz Mujh Say Taaza Shikayat Hai Aap Ko
Mai Kia Hon, Aik Baar Bata Dijiye Mujhay

Re: Meray Pasandeeda Ashaar...

Guzzray Howay Lamhoon Say Moun Moor Loun Kesay
Tootay Howay Rishton Say Mujhy Pyar Bohat Hay

Re: Meray Pasandeeda Ashaar...

Uss Se Ek Baar To Roothoon Main Usi Ki Maanind
Aur Meri Tarah Se Wo Mujhko Mananay Aye

Re: Meray Pasandeeda Ashaar...

Andhera Andhera Sa Chhanay Laga Hai
Meray Paas Se Jab Wo Janay Laga Hai

Re: Meray Pasandeeda Ashaar...

Tuu Kaun Hai Tera Naam Kia Hai
Kia Sach Hai Ke Tere Ho Gaye Hum!!?

Re: Meray Pasandeeda Ashaar...

Reza Reza Bikhhar Gaya Insaan
Dil Ki Veeraniaan Jatanay Ko

Re: Meray Pasandeeda Ashaar...

Saanp Se Tuu Aadmi Ko Na Mila
Saanp Kuch Be-Zararr Bhi Hotay Hain

Re: Meray Pasandeeda Ashaar...

Zabt Laazim Hai Magar Dukh Hai Qayamat Ka Faraz
Zaalim Abb Ke Bhi Na Roye Ga Tou Marr Jaye Ga..

Re: Meray Pasandeeda Ashaar...

Tum Mauj Mauj Misl-e-Saba Ghoomtay Raho
Kut Jayen Meri Soch Ke Perr Tum Ko Iss Se Kia..

Re: Meray Pasandeeda Ashaar...

Kuch Ishq Tha Kuch Majbuuri Thee So Mainay Jewan Waar Dia
Main Kaisa Zinda Aadmi Tha Ek Shakhs Ne Mujh Ko Maar Dia..

Re: Meray Pasandeeda Ashaar...

Ashaar Meray Yuun To Zamanay Ke Leay Hain
Kuch Sher Faqat Unn Ko Sunanay Ke Leay Hain
Yeh Ilm Ka Sauda, Yeh Risaalay, Yeh Kitabain
Ek Shakhs Ki Yaadon Ko Bhulanay Ke Leay Hain