Meray Pasandeeda Ashaar...

Assalam o Alaikum..

Main Yahan Aap Logon Se Wo Ashaar Share Karonga Jo Mujhay Buhat Pasand Hai.. Aur Jo Aksar Meri Zubaan pe Rehtay Hain.. I Hope Ke Aap Logon Ko Bhi Pasand Ayen Ge..

Allah Hafiz..

Regards,

Re: Meray Pasandeeda Ashaar...

Mera Sab Se Pasandeeda Shair,

Hum Zindagi Ki Jung Main Haray Zarur Hain
Lekin Kisi Mahaaz Se Paspa Nahi Huay..

Umeed Hai Pasand Aye Ga..

Regards,

Re: Meray Pasandeeda Ashaar...

Zingadi Tunay Mujhay Qabr Se Kam Di Hai Jagah
Pa-on Phela-un Tou Deewar Pe Sirr Lagta Hai..

Re: Meray Pasandeeda Ashaar...

Gham Aur Khushi Main Farq Na Mehsuus Ho Jahan
Main Dil Ko Uss Maqaam Main Laata Chala Gaya

Jo Mil Gaya Usi Ko Muqaddar Samajh Lia
Jo Kho Gaya Main Uss Ko Bhulata Chalata Gaya

Re: Meray Pasandeeda Ashaar...

Shor Itna Ke Rug Rug Main Hai Mehshar Barpa
Aur Sukoon Aisa Ke Marr Janay Ko Jee Chahta Hai..

Re: Meray Pasandeeda Ashaar...

Zindagi Aamad Baraye Bandagi
Zindagi Bay-Bundagi Sharmindagi

Re: Meray Pasandeeda Ashaar...

Saanp Ko Tu Aadmi Se Na Mila
Saanp Kuch Bay-Zararr Bhi Hotay Hain

Re: Meray Pasandeeda Ashaar...

Tu Bhi Kuch Aur Aur Hai Hum Bhi Kuch Aur Aur Hain
Janay Wo Tu Kidhar Gaya, Janay Wo Hum Kidhar Gaye
Raah Main Milay Thay Hum Rahain Naseeb Bann Gaeen
Tu Bhi Na Apne Ghar Gaya Hum Bhi Na Apne Ghar Gaye

Re: Meray Pasandeeda Ashaar...

very nice choice :)

Re: Meray Pasandeeda Ashaar...

mein zindagi ka saath nibhaata chala gaya
har fiqr ko dhuayn mein uraata chala gia

barbaadiyon ka soag manaana fazool tha
barbaadiyon ka jashn manaata chala gaya

Re: Meray Pasandeeda Ashaar...

Samay Jese Guzarta Ja Raha Hai
Koi Dil Se Utarta Ja Raha Hai

Bana Tha Rait-Lee Matti Se Jewan
Bikharta He Bikharta Ja Raha Hai

Re: Meray Pasandeeda Ashaar...

Thank You Aabla pa and Sonia Jee.. :)

Re: Meray Pasandeeda Ashaar...

Yeh Kis Maqaam Pe Soojhi Tuhay Bichharnay Ki
Ke Abb Tou Jakay Kaheen Din Sanwarnay Walay Thay

Re: Meray Pasandeeda Ashaar...

uMDA bOhaT uMDa :)

Re: Meray Pasandeeda Ashaar...

Lijiye Kuch Hamari Taraf Se Bhi :)

Kaho Azal Say Zara Do Ghari Thehar Jaaye
Suna Hai Aanay Ka Wada Nibha Raha Hai Koi

Adaab !

Re: Meray Pasandeeda Ashaar...

Buhat Khoobsurat :)

Shukria Pazeerai ka aur participation ka bhi :)

Khush Rahain..

Re: Meray Pasandeeda Ashaar...

Ghakat Ho Aapka Wada, Khuda Na Karay
Magar Huzoor Ko Aadat Hai Bhool Janay Ki

Re: Meray Pasandeeda Ashaar...

Sab Kehtay Thay Yuun Kehtay, Yuun Kehtay Jo Wo Aata
Sab Kehne Ki Baatain Hain, Kuch Bhi Na Kaha Jaata..

Re: Meray Pasandeeda Ashaar...

Un Se Jo Kehnay Gaye Thay, Faiz Jaan Sadqa Keay
Unkahi He Reh Gaii, Wo Baat Sab Baaton Ke Baad

Re: Meray Pasandeeda Ashaar...

Kese Keh Doon Ke Mujhay Chhor Dia Hai Uss Ne
Baat Tou Sach Hai, Magar Baat Hai Ruswai Ki..