meray mah-o- saal k beech mein....................

its one of my favourites!!!
hope u will like it!
:slight_smile:

Meray mah-o- saal k beech mein…

MMeray mah-o-saal kay beech mein ,koi aisa lamha gaaya nahin
Teraa naam mein nay liya nahin tujhay, yaad mein nay kiya nahin

Meraa safar adhora he rah gaya,Mujhay manzilon ki khabar nahin
Mein nay hamsafar ussay mana tha mera sath jis nay diya nahin

Yahan har qadam pay hain hadsay,ye khayal dil ko thaka gaya
Yeh safar k siraat-e-taveel hai,abhi ek qadam tak utha nahin

Koi aik aansoo tu aisaa day,dar-o-baam apnaay saja lon mein
Tujhay kya khabar maree rah mein,koi taara jugnoo diyaa nahin

Yeh maree anaa kee hai sar-kaashi,jo wassf aisaa sikhaa gae
Mein woh darya hon jo gira nahin,wo pahaar honjo hilla nahin

Koi beyqararee se aj bhi,meray dil mein khaar hai khanchtee
Koi dard tha joo dabaa nahin,koi ansoo tha jo bahaa nahin

Ussay baad barson k dekh kay,yon he aik lamhay ko kya hoa
Koi saans thee jo chalee nahin,koi zabbt thaa jo hoa nahin

Re: meray mah-o- saal k beech mein....................

Sonia_Jee, It's Pretty Good.. :)

PS: Mujhe Ko Bata De Ke Emoticons Kese Atay Hain Yahan :(

Re: meray mah-o- saal k beech mein....................

Which emotionz u r talking abt dear???

Re: meray mah-o- saal k beech mein....................

Ap Ne Yeh Nazm Share Karai Thee Na..

Maree jaa'n theek kahtee ho

hamaree iss mohabat ka

bhala kya faida ho ga

hamaray darmiyan jo dorian hain

kam nahinhon ge

kabhi barish kay mausam mein

hamesha sath rahnay ki

jo khahish dil mein jagee the

jo sapnay hum nay dekhay thay

woh sapnay toot jayin gay

maree jaa'n theek kahtee ho

muqadar k likhay ko hi agar tasleem karna hai

tu aisee mohabat ka

koi bhi faida kaisa?

magar iss ko agar chaho

tu maree bay basee kah lo

mujhay tum say mohabat hai

Its Awesome :)

PS: Emoticons like FLower wala, gussay wala, no no wala, Yes wala.. Blush wala :$

Re: meray mah-o- saal k beech mein....................

quik reply ............mein message board k neechay...........................Post quick reply ............AUR..........Go advance hain..........go advance lain............Smilez k sath "more" likha hai...........more par click karain..............u will find those smiliez there

:)

Re: meray mah-o- saal k beech mein....................

nahi mila :$

Re: meray mah-o- saal k beech mein....................

try karain phir saay!!!!!!!!

Re: meray mah-o- saal k beech mein....................

:)

Re: meray mah-o- saal k beech mein....................

:'(

Re: meray mah-o- saal k beech mein....................

Bohat hi zabardast..

sonia aapko agar shayar ka naam pata ho tau plss bataiyega..

i m waiting

Re: meray mah-o- saal k beech mein....................

Sis i Dnt know the name of its poet!!!!
:)

Re: meray mah-o- saal k beech mein…

**waaah sonia sis…maza aa gaya isse parh ke **:lajawab:

Re: meray mah-o- saal k beech mein…

Umda Ghazal ! kEep GoiNg Sj :k:

Re: meray mah-o- saal k beech mein…

umeed hai aap ka shikwa door ho gaya ho ga kay main ghazals share nahi kertee hoon :slight_smile:


thanks 4 liking the ghazal :slight_smile:

Re: meray mah-o- saal k beech mein…

beautifull sonia g :k:

Re: meray mah-o- saal k beech mein....................

jitni dafa b parho aisay lagta pahli dafa parhi :)

Re: meray mah-o- saal k beech mein…

Thanx Dear!!!:slight_smile:

Re: meray mah-o- saal k beech mein....................

nice:)

Re: meray mah-o- saal k beech mein....................

Buhat achi ghazal hey Sonia, thanks for sharing:-)