Meray Log

log miltay hein, log bicher jatay hein
log tanhayoon mein aksar yaad aatay hein

log ilzaam bhee rakhtay hein, mukar jatay hein
log bay-wajah koi gham bhee diyee jatay hein

log achay bhee hein, log sachay bhee hein
log chehroon ko chupatay bhee hein

log kuch aisay humein bay-qarar kertay hein
log phir humko jalatay hein, uljhatay hein

log zalim nahi, insaaf ko pehchantay hein
log phir bhee insaaf say kat-ratay hein…

log aisay bhee k khud ko he nahi jantay hein
log kyun zeest ko anjanay mein thukratay hein

log duniya ko kabhi khud ko he sub jantay hein
log Allah kay munsab ko nahi pehchantay hein..

log kyun aatay hein? log kyun jatay hein
log kyun piyar ko nishtar banatay hein

Pata nahi kia likha hay.. sirf dil kia kuch likhnay ka, likh diya…
Buhat din baad likha hay, go kay buhat ma-yari nahi lekin bus dilki sada hay..
Straight from my heart!

Re: Meray Log

Sometimes you just feel like writing something yet still you don't know what's you going to do or what you have done. It happens. By the way, welcome back :~)

Re: Meray Log

Thanks Amal

Re: Meray Log

log kyun zeest ko anjanay mein thukratay hein :k:

Re: Meray Log


Dost! aap nay jo kuch likhaa hai, such likhaa hai... reminds me of two other shairs:

Jub bhee chaahaiN, ik nai soorat banaa laitaY haiN loug
Ik cheraY pe kai chehraY sajaa laitaY haiN loug!

Iss jahaaN maiN kub kissi kaa dard apnaataY haiN loug
Rukh hawaa kaa dekh kar aksar badal jaataY haiN loug

Re: Meray Log

Fara ji....
dil ki Sada Aksr Achhi aur Sachhi Hoti hai.... mubarak !

Yeh Sher Aapke Liye: **
**Logon Ne Bas Saleeb Ki Zeenat Bana Diya

Main Cheekhta Raha Ke Payambar Nahi Hun Main !

Re: Meray Log

Heart Hacker, Anwaar Bhai and Derwesh Ji....

Thanks for leaving the complimets... Shukran !

Re: Meray Log

Kyun mere dil ko jala rahe hain yeh log
Zakhm bhare dil ko sata rahe hein yeh log

Usko bhulane ki kosish mein khud ko bhul gaya
Mere ghar ka pata kyun batate hein mujhe yeh log

Mekhane mein bhi hum ab hum nahi rahe
Uski kasam na jane kyoun dilate hein yeh log

Kabhi hasaate hein kabhi rulate hein yeh log
Mere khuda bade khudgarz hain tere yeh log