-- Meray lafz bhii ab bhatak gaey--

Kaii raahataiN hain guzar gaiiN , kuch ghum rahay hain shumaar mein
Meray lafz bhii ab bhatak gaey teray lams kay khumaar mein

Ajab hay ye lutf-e-zamaaN, ke qadam qadam par aasmaaN
Yuun ban kar kaii zaib-e-sehar , phir kho gaey hain ghubaar mein

Har Aankh mein hairaaniyaaN, hain Ruuh kii taghyaaniyaaN
Har shakhs hii majboor hay ,uss zaat kay hisaar mein

Banaaey thay kaii raastay , kisii ajnabi kay waastay
Par huwey khud hi ajnabi puhanch kar koo-e-yaar mein

Wo thay yahaan par jo makeeN jis nay pukaar na sunii
Sab sar-kashii mein mit gaey, kuch jaa basay aasaar mein

Kuch miT gaey jo reh gaey, moj-e-wafaa mein beh gaey
Kyon dhoondhay mujh ko dar-ba-dar, ab waqt ujRay dayar mein

Kab tak ramooz-e-qafs bhii, dekhain adaaiN lafz kii
Ke nahi gohar-e-qarar ab, har seep-e-aah-o-zaar mein

Humain aarzoo ab nahin rahii, ke waqt thamay tou sahii
Ke na dil-numaai hay mujh mein ab, na wuh chaashni hay bahaar mein

Re: – Meray lafz bhii ab bhatak gaey–

Khoobsoorat ghazal hey Gul go ke wazan ka masla hey kaheiN kaheiN. But still a nice piece. Wesey hey kis ki?

Re: -- Meray lafz bhii ab bhatak gaey--

nice one Gul and welcome back ..:)

Re: – Meray lafz bhii ab bhatak gaey–

nice… :k:

Re: -- Meray lafz bhii ab bhatak gaey--

Very Nice... :-)

Re: – Meray lafz bhii ab bhatak gaey–

very nice :k:

Re: -- Meray lafz bhii ab bhatak gaey--

bahut khoob JAWAB NAHI thanks 4 sharing Gul!

Re: – Meray lafz bhii ab bhatak gaey–

:flower2:

Re: -- Meray lafz bhii ab bhatak gaey--

Nice One ! Gul-e-Tasbeeh :) **
**You were also not here? as people are saying Welcome back to u too

so you came back with Amal, NJ and some other members? :p **
**Welcome back!

--------------------------------------------

**jhonkaa idhar na aaye nasiim-e-bahaar kaa
naazuk bahut hai phuul charaaG-e-mazaar kaa

phir baiThe baiThe vaadaa-e-vasl us ne kar liyaa
phir uTh kha.Daa huaa vahii rog intazaar kaa

shaaKho.n se barg-e-gul nahii.n jha.Date hai.n baaG me.n
zevar utaar rahaa hai uruus-e-bahaar kaa

har gul se laalaazaar me.n ye puuchhataa huu.N mai.n
tuu hii pataa bataade dil-e-daaG_daar kaa**

--------------------------------------------

Re: – Meray lafz bhii ab bhatak gaey–

phir baiThe baiThe vaadaa-e-vasl us ne kar liyaa phir uTh kha.Daa huaa vahii rog intazaar kaa

:k:

Re: – Meray lafz bhii ab bhatak gaey–

Bohat khoob Gul-e-Tabeesh …:k: