Meray Khuda mujhay itna to mo'tabir kar day

Meray Khuda mujhay itna to mo'tabir kar day Maen jis makaan main rehta hoon us ko ghar kar day

Yeh roshnee kay ta’aqqub main bhagta hooa din
Jo thak gaya hai to ab is ko mukhtasar kar day

Maen zindagi kee duaa mangnay laga hoon bohot
Jo ho sakay to duaaon ko bay asar kar day

Sitara-e-sehree doobnay ko aya hai
Zara koi meray sooraj ko bakhabar kar day

Meree zameen, mera aakhree havalah hai
So maen rahoon na rahoon is ko barvar kar day

Maen apnay khwab say kat kar jeeyoon to meray Khuda
Ujaar day meree mittee ko darbadar kar day

by
iftikhar arif

Re: Meray Khuda mujhay itna to mo’tabir kar day

very nice :k:

nice one sis thanks 4 sharing..........:)

nikii nice, thanks for sharing :)

Wah nikii bohot khoob:k:

thxs gul nikami n chand n nayab sis0 :kiss:

wah ji wah bhoot khoooooooob :k: