Smait lay, ya meri zaat ja baja kar day.
Gham-e hayat ki marzi hai jo ataa kr day.
Main ashk bun ky teri aankh sy niklta hoon.
Tu hath se mujhay, rukhsar par fana kr day.
Main us ki yaad se ik pal nikel ky ji paaoon.
Meray khuda, mujhay itna to be-wafa kr day.
Aye ishq zaad meray, kuch to ho bnaam-e-wafa.
Jo ashk rooth chalay hain mujhay mana kr day.
Kisi ky Qurb mein jeenay ko ji trasta hai.
Hisaar-e-jaan mein mujhay shehr-e-dil bsaa kr day.
Ussi galli mein jawaani kahien padi ho gi.
Main jeena chahta hoon, jaa dhoond, mujh ko laa kr day.
Raheen-e-zulmat-e-shab hain tmaam khwab meray.
Makeen-e-kaun-o-makaa’n, ik diya ataa kr day.
Fraib-e-raah guzer, raftgaa’n ki qismat thi.
Tu un kay naqsh mitaa, raasta naya kr day,
Anaa ki dhoop mein “QATEEL” jhulsay jatay hain,
Meray khayal, Meray dil kay hum nawa kar day.