Meray jesay bun jao gay jub ISHQ tumhain ho jay ga
Dewaron say takrao gay jub ISHQ tumhain ho jay ga
Her baat gawara kar lo gay
Munaat bhee utara kar lo gay
Tawezain bhee bundhawao gay jub ISHQ tumhain ho jay ga
Tanhai kay jholay jholo gay
Her baat purani bholo gay
Ainay say ghabrao gay jub ISHQ tumhain ho jay ga
Jub sooraj bhee kho jay ga
Aur chand kahin so jay ga
Tum bhee ghar dair say aoo gay jub ISHQ tumhain ho jay ga
Baychani jub barh jay gi
Aur yaad kisi ki aay gi
Tum meri ghazalain gao gay jub ISHQ tumhain ho jay ga
LIKE IT OR LOVE IT