Meray Humsafar woh jo aik Rishtaa-e-dard !

Jatay jatay ye Ghazal post karahi hoon My final posting phir shayad mauka na milay , ye ghazal mujhay bahut pasand hai !!

Meray humsafar
Woh Jo aik Rishtaa-e-Dard tha
Meray Naam ka teray naam say,
Teri Subah Ka meri shaam say,
Sar-e-Raah guzaray hai para hua, wohi khwaub-e-jaan,
issi rikhatey ghum ko samettay,
issi khwaub-e-jaan ko sambhaltay,
meray raastay kayee rastoon main uljh gaye,
woh chiraagh jo meray saath saath theey bhuj gaye,
Kisi aur manzil-e-beynishaan kay ghubar-e- raah main kho gaye,
Meray humsafar
Tujhay kiya khabar,
Jo waqt hai kisi dhoop chahoon k khel sa,
issay dekhtay issey jheltay,
Meri ankh gard say ath gaye,
Meray beykhabar teray naam per,
woh jo phool khiltay theey honth par,
woh nahi rahay,
woh nahin rahay jo kay jo aik rabt tha,darmiyaan woh bikhaar gaya,
Meray humsafar,hai wohi safar,
Magar aik morh kay fark say,
Teray haath say meray haath taak,
Woh jo haath bhar ka tha fasla,
Kaye mausamoon main badal gaya,
Usaay Naptay Ussay kathtay,
Mera Sara waqt Nikaal gaya!!!

Wonderful :k::k::k:

Lamhay, kuch bhi nahee badla hai yeh sirf ap ki soch hai
Anyway, I wish you all the best :wave:

Jate Jate udaas kar ke jaana zarorri hota hai kya?
:teary2:

aap ki soch hai halaat badal jatay hain , insaan badal jata hai woh jissay hum janay ka dawa kartay hain usko tu kabhi janay hi na theey ye pata lag jata hai :wink:
any way aap udaas na hoon b happy!!

[QUOTE]
*Originally posted by Lamhay: *

aap ki soch hai halaat badal jatay hain , insaan badal jata hai woh jissay hum janay ka dawa kartay hain usko tu kabhi janay hi na theey ye pata lag jata hai ;)
any way aap udaas na hoon b happy!!
[/QUOTE]

yeh bhi ajeeb kahi aap nay,
kaisay udass na hon,,
aap kay jaanay ka sun kar hum betarah udass howay,
abhi to hum alag say aap ki khushbu sahi tarah say pehchan bhi nahi pay thay keh judaii ki gharri sir par agaii ,
yeh kiasa zulm hay humray hasass dil par,
yeh kaisi bebassi hay humray naseeb ki,
na hum samjhay na aap ...............

salees urdu main ...
abhi hum aap ko jantay nahi phir bhi aap ki shakh'siyat ke jadu asar honay ko mehsoos kartay hain ... aap ke na honay ka ihsaas udass rakhay ga ... hum sochatay hain aap ke saat hum bhi chalay hi jatay hain ... yeh kia keh her dosray din hum achay logon kay janay ka matum hi karain ...... yeh karb humaray zarf say ziyada hi ho chala hay ab. :(

Allah hafiz
aap sub khush raho

Na janay konsa lamha chura kay lay jay :(

Buhat khoobsurat nazm hai Lamhay. Mujhe naheen pata ke aap itnee udas kioon kar ke ja rahee hain logon ko magar haan ek baat kahnee thee aur woh yeh ke aap jahan kaheen bhee ja rahee hain waheen se aap yeh forum use kar saktee hain agar chahein to. There is no need to say Good Bye to the people who are your friends. Jahan bhee rahein khush rahein :flower2:

boht khoob :)

Re: Meray Humsafar woh jo aik Rishtaa-e-dard !

[QUOTE]
*Originally posted by Lamhay: *
Jatay jatay ye Ghazal post karahi hoon My final posting phir shayad mauka na milay , ye ghazal mujhay bahut pasand hai !!

[/QUOTE]

A beautiful poem with a sad note. This is not
acceptable Lamhay! We hope you will manage
to find time for us:)

Re: Meray Humsafar woh jo aik Rishtaa-e-dard !

[QUOTE]
*Originally posted by Lamhay: *
Jatay jatay ye Ghazal post karahi hoon My final posting phir shayad mauka na milay , ye ghazal mujhay bahut pasand hai !!

Meray humsafar
Woh Jo aik Rishtaa-e-Dard tha
Meray Naam ka teray naam say,
Teri Subah Ka meri shaam say,
Sar-e-Raah guzaray hai para hua, wohi khwaub-e-jaan,
issi rikhatey ghum ko samettay,
issi khwaub-e-jaan ko sambhaltay,
meray raastay kayee rastoon main uljh gaye,
woh chiraagh jo meray saath saath theey bhuj gaye,
Kisi aur manzil-e-beynishaan kay ghubar-e- raah main kho gaye,
Meray humsafar
Tujhay kiya khabar,
Jo waqt hai kisi dhoop chahoon k khel sa,
issay dekhtay issey jheltay,
Meri ankh gard say ath gaye,
Meray beykhabar teray naam per,
woh jo phool khiltay theey honth par,
woh nahi rahay,
woh nahin rahay jo kay jo aik rabt tha,darmiyaan woh bikhaar gaya,
Meray humsafar,hai wohi safar,
Magar aik morh kay fark say,
Teray haath say meray haath taak,
Woh jo haath bhar ka tha fasla,
Kaye mausamoon main badal gaya,
Usaay Naptay Ussay kathtay,
Mera Sara waqt Nikaal gaya!!!!
[/QUOTE]

Wow, mae kafi ursey sey is poem ki talaash main thee. Thanx Lamhay.. meri mushkil hul ker di tum ney :)

bohat khoob lamhay

bohat achi choice hai.

Jahan bhee reho khush reho.

bohat khubsurat ghazal sis :k: but ye kya kay time nahi hoga:teary3:

nice one lamhay will miss u :(

ya kiya hoo raha hai....

koyee kaheen nahi jaya ga... yaar is say bahtar duniya bahi hai kiya jo aap jaa rahee hoo.... agar hai tu phir shook say jaaoo.... yahan sub piyar karnay walay hain... asa kaheen aur nahi hai...

decision will be yours....

[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *
ya kiya hoo raha hai....

koyee kaheen nahi jaya ga... yaar is say bahtar duniya bahi hai kiya jo aap jaa rahee hoo.... agar hai tu phir shook say jaaoo.... yahan sub piyar karnay walay hain... asa kaheen aur nahi hai...

decision will be yours....
[/QUOTE]

dilsay ji behtar duniya k liye kaun jaraha hai kabhi kabar waqt aur halaat k takazay k tehaat jana parta hai aur settle honay k baad im here but after a long break !!

capricorn tum na ab socho aik admi bahat settle honay main lagay ga k computer cafe dhoond kar gupshup per post karnay bethay ga :wink:

jab life set hojayegi tu sab sey pehlay main gupshup per hi kahongi :)per time zayeda hi lagay ga na !!

[QUOTE]
*Originally posted by Azad: *

yeh bhi ajeeb kahi aap nay,
kaisay udass na hon,,
aap kay jaanay ka sun kar hum betarah udass howay,
abhi to hum alag say aap ki khushbu sahi tarah say pehchan bhi nahi pay thay keh judaii ki gharri sir par agaii ,
yeh kiasa zulm hay humray hasass dil par,
yeh kaisi bebassi hay humray naseeb ki,
na hum samjhay na aap ...............

salees urdu main ...
abhi hum aap ko jantay nahi phir bhi aap ki shakh'siyat ke jadu asar honay ko mehsoos kartay hain ... aap ke na honay ka ihsaas udass rakhay ga ... hum sochatay hain aap ke saat hum bhi chalay hi jatay hain ... yeh kia keh her dosray din hum achay logon kay janay ka matum hi karain ...... yeh karb humaray zarf say ziyada hi ho chala hay ab. :(

Allah hafiz
aap sub khush raho

Na janay konsa lamha chura kay lay jay :(
[/QUOTE]

Azad ji aap ko hamay ab tak na samjh paye ;)
waisay azad ji kisi ko samjhnay k liye kabhi aik lamha lagta hai kabhi sari umar ,araay aap hamaray saath kahan chalien aap yahin rahien aap ki yahan zaroorat hai ,humay set honey dein na zara !!

Re: Meray Humsafar woh jo aik Rishtaa-e-dard !

Wah…Great :k:

~beautiful ~

[QUOTE]
*Originally posted by Lamhay: *

dilsay ji behtar duniya k liye kaun jaraha hai kabhi kabar waqt aur halaat k takazay k tehaat jana parta hai aur settle honay k baad im here but after a long break !!
[/QUOTE]

well seems you have made up your mind and in this case what can we say.... so be happy where ever you are and lets see how long break you are going to take.....

also take care of your self and if you need help of us let us know and you know where we are....

hum asi duniya main hain...

Beautiful:-)

nice one :k:
and do come back soon
we will miss you
:flower2: