meray humsafar, tujhay kia khabar yeh jo waqat hay kese dohp chahaoo’n kay khail sa isay dekhtay, isay jehltay mere aankh gard say aat gaye meray khwab rait may koh gayay meray hath barf say ho gayay meray bay-khabar, teray naam per woh jo phool kihltay thay honto’n per woh jo deep jaltay thay baam per woh nahi rahay … woh nahi rahay kay jo aik rabt tha darmia’n woh bikhar gaya … woh hawa chali … kay jo barg thay sar-e-shaakh-jaa’n, woh gira diyay woh jo harf darj thay rait per, woh uraa diyay woh jo rasto’n ka yaqeen thay woh jo manzilo’n kay ameen thay woh nishaan-e-paa bhi mita diyay meray humsafar, hay wohe safar magar aik mor kay farq say teray hath say meray hath tak woh jo hath bahr ka tha fasla kaye moosamo’n may badal gaya isay naptay, isay kaat-tay mera sara waqat nikal gaya tu meray safar ka shareek hay may teray safar ka shareek hoon per jo darmia’n say nikal gaya usee faslay kay shumaar mayn use bay-yaqee’n say gubaar mayn use rah-guzar kay hasaar mayn tera rasta koi aur hay … meray rasta koi aur hay …
Help: Poet name ??? [HeArT HaCKeR has posted the full nazam in post # 6 ]
*mere jism-e-jaaN k har ik raabte se moatabir
mere hum-safaR
tujhe yaad haii, tujhe yaad haii
wo jo QurbatoN k saroor mien
terii aarzo` k hisaar mien
merii khwahishoN k wafoor mein
kaii zaiQay thay ghullay hoay
dar-e-gulistaN se bahaar tuk
wo jo raaste thay khillay hoay
sar-e-loh-e-jaaN
kissi ajnabii sii zubaaN mien
wo jo khushnuma se haroof thay
wo jo sar kashii ka ghubaar tha char-su
jahan ik dojey k ru-baru
kissi naghmagii ki khabR milii
kissi roshnii ki nazaR milii
hamien roshnii kii nazaR milii
tu jo raiza raiza se aks thay
wo baham hoay
wo baham hoay tu pata chala
k jo aag sii hai sharar-fishaaN merii khaak mien
issi aag ka koii an-bhuja sa nishaaN haii terii khaak mien
issi khaak-daan mien wo khwaab haii jisse shakal dene k waaste
ye jo shash johaat ka khail haii ye rawaaN howa
issi roshnii se makaN bana, issi roshnii se zamaN howa
ye jo har gumaN ka yaQeen haii
wo jo har yaQeen ka gumaan tha
issi dastaN ka biyaaN tha
mere hum-safar
kissi dhiyaan ki kissi taaQ per
haii dhara howa
wo jo ik rishta-e-durd tha
mere naam ka tere naam se
terii subh ka merii shaam se
sar-e-rah-guzaR hai para howa wohii khwaab-e-jaaN
jisse apnii ankhoN se dekh lene k waaste
kaii lakh taroN ki seeriyoN se uter k aatii thii kehkashaN
sar-e-aasmaN
kissi abar paray ki oout se
usse chaand takta tha raat bhar
mere hum-safaR
ussi rakht-e-ghum ko samait-te
ussi khwaab-e-jaaN ko sambhaalte
mere raaste kaii rastoN mein ulajh gaye
wo chiraagh jo mere saath saath thay bhujh gaye
wo jo manzilien
kissi aur manzil-e-bey-nishaaN k ghubaar mien kho gayeeN
kaii waswasoN k fishaar mien shab-e-intezaar sii ho gayeeN
wo tanaab-e-dil jo ukher gayii
wo khiyaam-e-jaan jo ujer gayii
wo safeer thay ussi dastan-e-hiyaat k
jo warQ warQ thii bharii hoii
mere shouQ se tere roop se
kaheen chahoN se, kaheen dhoop se
mere hum-safar tujhe kia khabR
ye jo waQt haii kissi dhoop chahoN k khail sa
usse dekhte, usse jhailte
merii ankh gurd se att gayii
mere khwaab rait mien kho gaye
mere haath barf se ho gaye
mere hum-safaR
mere bey-khabR tere naam per
wo jo phool khilte thay hont per
wo jo deep jalte thay baam per
wo nahii rahay
wo nahii rahay k jo ik rabt tha darmiyaN
wo bikher gaya
kissi shaam aisii hawa chalii
k jo barg thay sar-e-shaakh-e-jaaN
wo gir gaye
wo jo harf darj thay rait per
wo urr gaye
wo jo rastoN k yaQeen thay
wo jo manziloN k ameen thay
wo nishaan-e-pa bhii mit gaye
mere hum-safaR
haii wohii safaR
mgr ik mour k farQ se
tere haath se mere haath tuk
wo jo haath bhar ka tha faasla
kaii mosumoN mien badal gaya
usse naapte, usse kaat-te
mera sara waQt nikal gaya
tu mere safaR ka shareek haii
mere tere safaR ka shareek hoon
per jo darmiyaaN se nikal gaya
ussi faasle k shumaar mien
ussi bey-yaQeen k ghubaar mien
ussi rah-guzaR k hisaar mien
tera raasta koii aur haii
mera raasta koii aur haii
*