Meray Humsafar, woh jo aik rishta -e- dard tha
Meray naam ka teray naam say, Teri subah ka meri shaam say
Sar -e -raah guzar hay para hua, wohi khwaub -e -jaan
Issi rakht e ghum ko samet tay, Issi khwaub- e -jaan ko sambhaaltay
Meray raastay kaye raaston mein ulajh gaye, Woh charaagh jo meray saath saath thay bujh gaye
Kisi aur manzil e baynishaan kay gubaar- e- raah mein kho gaye
Meray hamsafar..tujhay kiya khabar
Jo wakt hay kisi dhoop chaaon kay khel sa, Issi dekhtay issay jheltay
Meri aankh gard say att gaye, Meray baykhabar teray naam par
Woh jo phool khiltay thay hont par, woh nahi rahay
Woh nahi rahay keh jo aik rabt tha darmiyaan woh bikhar gya
Meray hamsafar hay wohi safar, Magar aik mor kay fark say
Teray haath say meray haath tak, Woh jo haath bhar ka tha faasla
Kaye mausamon mein badal gaya, Issay naaptay issay kaat’tay
Mera sara wakt nikkal gaya…
Mujhe aap kyo na samaj sake yeh khud apne dil se poocheyay
Meri daastan-e-hayat ka tu warq warq hai khula huwa
Mujhe aik gali mein para huwa, kisi badnaseeb ka khat mila
Kahen khon-e-dil se likha huwa, kahen aanso’on se mita huwa
Re: Meray Hum safar woh jo aik rishta -e- dard tha!
[QUOTE]
*Originally posted by Lamhay: *
One of my favorites!
*Meray Humsafar, woh jo aik rishta -e- dard tha
Meray naam ka teray naam say, Teri subah ka meri shaam say
Sar -e -raah guzar hay para hua, wohi khwaub -e -jaan *
Issi rakht e ghum ko samet tay, Issi khwaub- e -jaan ko sambhaaltay
Meray raastay kaye raaston mein ulajh gaye, Woh charaagh jo meray saath saath thay bujh gaye
Kisi aur manzil e baynishaan kay gubaar- e- raah mein kho gaye
Meray hamsafar..tujhay kiya khabar
Jo wakt hay kisi dhoop chaaon kay khel sa, Issi dekhtay issay jheltay
Meri aankh gard say att gaye, Meray baykhabar teray naam par
Woh jo phool khiltay thay hont par, woh nahi rahay
Woh nahi rahay keh jo aik rabt tha darmiyaan woh bikhar gya
Meray hamsafar hay wohi safar, Magar aik mor kay fark say
Teray haath say meray haath tak, Woh jo haath bhar ka tha faasla
Kaye mausamon mein badal gaya, Issay naaptay issay kaat'tay
Mera sara wakt nikkal gaya...
[/QUOTE]
Beautiful.... nothing can be said more thn that....