qadam qadam pe zamana bicha dee’ya us ne
safaR zaRa sa tha lakiN thakaa dee’ya us ne
makaN-e-fikaR k saray khulaY dreechooN pe
hawa-e-zaRd ka pahRa bitha dee’ya us ne
maiN jaagta tha tu wo khawab day gay’aa muj ko
maiN soo gay’aa tu phiR a k jaga gay’aa us ne
meray hisaab maiN likh k tumam umeR ki pay’aas
meray wajood maiN doozakh ughaa dee’ya us ne
bichaa k daRd ka sehRa tumaam rastooN peR
mujhaY tu ghaR be (,) ray’aat ka dee’ya us ne*