meray hamsaffar, tujhay kia khabbar

meray hamsaffar, tujhay kia khabbar
yeh jo waqt hai kissi dhup chaaoan k khel saa
isay dekhtay isay jhailtay
meri aankh gard sai att gai
meray khawaab rait main kho gaye
meray haath barf say ho gaye
meray bekhabbar teray naam per
woh jo phul khiltay thay hont per
woh jo deep jaltay thay baam per
woh nahein rahey
woh naheein rahey kay jo aik rabt tha darmiaan woh bikhar gayaa
woh hawaa chali
kissi shaam aissi hawa challi
kay jo barg thay sar e shaak e jaan woh girra deay
woh jo harf darj thay rait per woh urra deay
woh jo raastoan kaa yaqaeen thay
woh jo manziloan k ameen thay
woh nisha
ussay naaptay , ussay kaatataay
mera saara waqt nikal gaya
tu meray safar ka shareek hai
main teray saffar ka shareek hun
per
wo jo dermiaan sai nikal gaya
ussi faasalay k shumaar main
ussi bay yaqeen say ghubbaar main
ussi rah guzzar k hissar main
teraa raasta koi aur hai
mera raasta koi aur hay

lovely.....

awesome:k::k:
thanks

intahi khoobsoorat, intihai mashoor kun, aik na qabilay bayan hisaar hay is nazam main :mudhosh: , very good daina very good :biggthumb

dania wonderful choice i like this ghazal a lot thanks 4 sharing !