meray hamsafer

Meray hamsafar, tujhay kya khabar!
yeh jo waqt hai kissi dhupe cha’oon kay khail sa
issay dekhtay, issay jhailtay
meri aankh gard say att gaee
meray khawab rait mein khoo ga’ay
meray hath barf say ho ga’ay
meray baykhabar, teray naam per
woh jo phule khiltay thay hoont per
woh jo deep jaltay thay baam per,
woh nahein rahay
woh nahein rahay kay jo aik rabt thaa darmiyaan woh bikhar gaya woh hawa chali,
kissi shaam aisee hawa chali
keh jo burg thay sar-e-shaakh’ay jaan, woh girra di’ay
woh jo herf darj thay rait per, woh urra di’ay
woh jo rastoon ka yakeen thaa
woh jo manzilon kay ameen thay
woh nishan-e-paa bhi mita di’ay!
meray hamsafar, hai wahi safar
magar aik more kay fark say
teray haath say meray haath tak
woh jo haath bharr ka thaa faasla
kaee mosmoon mein badal gaya
ussay naaptay, ussay kaat’tay
mera sara waqt nikal gaya
tu meray safar ka shareek hai
mein teray safar ka shareek hon
yeh jo darmiyaan say nikal gaya
ussi faslay kay shumaar mein
ussi bay yakeen say ghubaar mein
ussi reh guzar kay hisaar mein
tera raasta koi aur hai
mera raasta koi aur hai… . . . .

Re: meray hamsafer

Bohat Khoob Dania..:k:

Re: meray hamsafer

very nice

Re: meray hamsafer

:)

Re: meray hamsafer

nice :k:

Re: meray hamsafer

:lajawab: ek taweel magar khoobsurat Nazm.