~ Meray HamsafaR ~

.
.
.
.
Meray hamsafaR
meray bekhabaR teray Naam paR
wuh jo phooL khiltay thay honT paR
wuh jo deep jaltay thaey baam paR
wuh nahiN rahay
wuh nahiN rahay kay jo Ek RabT thaa darmiyaaN
wuh bikhaR geyaa
kisi Shaam Aesi hawaa chaLii
kay jo barG thay sar-e-shaakh-e-jaaN
wuh gir gaey
wuh jo harf darj thay RaiT paR
wuh Urr gaey
wuh jo raastoN kay yaQeeN thay
wuh jo manziloN kay ameeN thay
wuh nishaaN-e-pa bhi mit gaey

Meray HamsafaR
hay wuhi safaR
magar Ek moR kay FarQ say
teray haath say meray haath tak
wuh jo haath bhar ka tha faasla
kaii mausamoN meiN badaL geya
usay naaptay, usay kaat’tay
mera saara waQT nikaL geya
tu meray safar ka shareek hay
maeiN teray safar ka shareek huuN
paR jo darmiyaaN say nikaL geya
Ussi faaslay kay ShumaaR meiN
Ussi be-yakeeN ssy ghubaaR meiN
Ussi Rah’guzaR kay hissaaR meiN
teraa Raasta koi aur hay
mera Raasta koi aur hay

AIA

~ Meray HamsafaR ~…Beautiful:k:
One of my favs…I think the full text
of the nazm is worth posting…though
quite long:)…thanx for posting Gul

:k: that s wonderful :k:

Bohat hi Achi hai :k:

sniff :teary1:

khair nice intekhaab Gul siso… one of my favourites

Re: ~ Meray HamsafaR ~

[QUOTE]
*Originally posted by GuL-e-Tasbeeh: *
.
.
.
.
Meray hamsafaR
meray bekhabaR teray Naam paR
wuh jo phooL khiltay thay honT paR
wuh jo deep jaltay thaey baam paR
wuh nahiN rahay
wuh nahiN rahay kay jo Ek RabT thaa darmiyaaN
wuh bikhaR geyaa
kisi Shaam Aesi hawaa chaLii
kay jo barG thay sar-e-shaakh-e-jaaN
wuh gir gaey
wuh jo harf darj thay RaiT paR
wuh Urr gaey
wuh jo raastoN kay yaQeeN thay
wuh jo manziloN kay ameeN thay
wuh nishaaN-e-pa bhi mit gaey

Meray HamsafaR
hay wuhi safaR
magar Ek moR kay FarQ say
teray haath say meray haath tak
wuh jo haath bhar ka tha faasla
kaii mausamoN meiN badaL geya
usay naaptay, usay kaat'tay
mera saara waQT nikaL geya
tu meray safar ka shareek hay
maeiN teray safar ka shareek huuN
paR jo darmiyaaN say nikaL geya
Ussi faaslay kay ShumaaR meiN
Ussi be-yakeeN ssy ghubaaR meiN
Ussi Rah'guzaR kay hissaaR meiN
teraa Raasta koi aur hay
mera Raasta koi aur hay

AIA
[/QUOTE]

wonderful choice siso thanks for sharing!

nice
thanks 4 sharing

:snooty: gul boht achei :teary2:

nice... thanx for sharing

V nice one of ma fav thanks 4 sharin..G_e_Tea

Beautiful :k:

i have two words for this post wah wah :k:

GuL-e-Tasbeeh... !

U surely deserve all credit for sharing this wonderful ghazal with us !
Keep it up !

bhut khoob:k: