~*Meray hamsafar*~

Meray hamsafar
Woh jo aik rishta-e-dard the
Meray naam ka teray naam se
Teri subah ka meri shaam se
Sar-e-raah guzar hai paRa hova, wohi khuwaab-e-jaaN
Issi rakhet-e-gham ko samaiTtey
Issi khuwaab-e-jaaN ko sambhaltey
Meray raastey kai raastooN maiN ulajh gaye
Woh chiraagh jo meray saath saath thay, bujh gaye
Kisi aur manzil-e-bay nishaaN k ghubaar-e-raah maiN kho gaye
Meray hamsafar
Tujhey kiya khabar
Jo waqt hai kisi dhoop chaaoN k khail sa
Ussey daikhtey, ussey jhailtey
Meri aankh gard se aTT gaye
Meray bay-khabar teray naam per
Woh jo phool khiltey thay hoont per
Woh nahi rahey
Woh nahi rahey k jo aik rabt tha, darmiyan maiN woh bikhar gaya
Meray hamsafar, hai wohi safar
Mager aik mooR k farq se
Teray haath se meray haath tak
Woh jo haath bhar ka tha faasla
Kai mosamooN maiN badal gaya
Ussey naaptey, ussey kaaTtey
Mera sara waqt nikal gaya

Wonderful …:k:

Mera sara waqt nikal gaya

chalain acha hay nikal gia .. waqt nay barbad hi hona tha

nawazish ..

Bravo buthkhood is it urz

:k:

:k: thanx for sharing!

^ shukran :)

aur i think ye Amjad islam Amjad ki poem hai.. :)

:flower1: