Meray dais main yeh kia ho raha hay
Insaaniyat ka fanaa ho raha hay
Jo mehnat hay karta wo bhook se hay marta
Jo lootay, lambi taan kay so raha hay
Meray dais main yeh kia ho raha hay
Dasht e junoon say umang e sahar tak
Chashm e talab aur nazar e jaber tak
kafan e sitam aur darad e qaber tak
Muflis ka daman lahoo ho raha hay
Meray dais main yeh kia ho raha hay
Jo munsif wohi zulam kay naakhuda hain
Muhafiz lutairon kay tan ki qaba hain
Siasi ufaq pay bhi badal sayah hain
Jiger chalni, chalni hay dil ro raha hay
Meray dais main yeh kia ho raha hay
Insaan hain per wafa hi nahin hay
Muhabbat ki low ka diya hi nahin hay
Sharaft hay jis main jia hi nahin hay
Bhagban jab say khaar e qaza bow raha hay
Meray dais main yeh kia ho raha hay
Naam e Musliman faqat reh gia hay
Kufar ki nadi main amal beh gia hay
Dil main dagha hay zuban pay raya hay
Umeedon ka sooraj zia kho raha hay
Meray dais main yeh kia ho raha hay
Yeh gulshan bana khoon ki qurbanyon say
Shahadat kay jazbon ki baaranyon say
Meray rah-numaown ki naadanyon say
Yeh gulshan mehak say juda ho raha hay
Meray dais main yeh kia ho raha hay
Dais kay baasyon say, dil ki sada hay
Rah-numa e watan say meri ilteja hay
Khuda hay muhabbat, muhabbat Khuda hay
Daras wo do dars e wafa jo raha hay
Meray dais main yeh kia ho raha hay
- Nadeem Qadir Ehsaas