**meray charah-gar..
ye jo behr-e-dard hai maujzan meri zaat maiN
tujhay kya khabar..!
tujhay kya khabar k
ye dil ka basta dayaar kaisay UjaR gaya..
teray dil-girifta pe jaan-e-jaaN
teray b’ad kya kya guzar gaya
teray Ishq maiN teri chaah maiN..
teri khoj maiN, teri raah maiN
wuhi jis pe maan raha bohat..
meri Zaat ka woh ghuroor sara bikhar gaya..
tujhay kya pata
k meray chaman k Gulaab zard kyuN ho gaey..
teray reyg-e-dast-e-firaaq maiN..
meray khwaab gard kiyooN ho gaey..
meri zindagi ki kitaab k sabhi baab..
dard kiyooN ho gaey ?
tujhay kia pata.. tujhay kia khabar!
meray chaarah-gar..!
waah…bahot umda…bahot hii lyrical…is nazam kii to kisi mutrib ko naGhama-saraaii karnii chaahiye…kaash amiN music director aur film producer aur director hotaa to ise apnii film meN must’amil kartaa hero moHabbat se gaataa…heroin pyaar se suntii
Meray chara garh
meray dard ki tujay kia khaber
tu meray safer ka shareek hai
nahi hamsafer
meray chara garh meray dard ki tujay kia khaber
teray meray darmiyan
jo hath bher ka tha fasla
usay manptay usay kat tay
mera sara safer nikal gaya
kaiN rutoN mein badal gaya
nahi jis pe koi nishan pa
meray samnay hai woh rah guzer
meray chara garh meray dard ki.......
That was my favourit poem thanks to share................!