Re: Meray bachpan kay din.......aaj bethay bithaye kiyon yaad agaye...?
Shayed mujhay yaad na raha ho. Kiyon keh pichhlay do haftoon tak main itni masroof thi keh agar apna naam bhi bhool jati to koi nayi baat naheen.
Haan maloom hai keh pehlay bhi bataya thha. Laikin main yeh pehlay bhi keh chucki hoon keh uskay marnay par main roi naheen thhi because I was shocked. Aur thora dimagh par asar hogeya hai keh har jaga uska zikar karti rehti hoon.
Shukar hai keh aap aur aap ki family mehfooz rahi. Thank God.