Re: Meray bachpan kay din…aaj bethay bithaye kiyon yaad agaye…?
ja kar ab so jain aap thak gie hain ![]()
![]()
![]()
![]()
![]()
![]()
![]()
Re: Meray bachpan kay din…aaj bethay bithaye kiyon yaad agaye…?
ja kar ab so jain aap thak gie hain ![]()
![]()
![]()
![]()
![]()
![]()
![]()
Re: Meray bachpan kay din.......aaj bethay bithaye kiyon yaad agaye...?
Abhi to uthi hoon.
Re: Meray bachpan kay din…aaj bethay bithaye kiyon yaad agaye…?
^ aur ik mai hon k abi tak soya he nahi
![]()
![]()
![]()
![]()
![]()
![]()
Re: Meray bachpan kay din.......aaj bethay bithaye kiyon yaad agaye...?
Haaaaaaaawwwwwwwwww.
Ankhain band karo gay to neend aye gi na.
Re: Meray bachpan kay din…aaj bethay bithaye kiyon yaad agaye…?
mai nay socha k ab itna jaaaaga hon to NAMAZ parh k so jaoon ![]()
![]()
![]()
![]()
![]()
![]()
![]()
Re: Meray bachpan kay din…aaj bethay bithaye kiyon yaad agaye…?
Haan, yeh achi baat hai.
Taaaliyaaan.
Re: Meray bachpan kay din…aaj bethay bithaye kiyon yaad agaye…?
^ ![]()
mai nay to parh b lee
![]()
![]()
![]()
![]()
![]()
![]()
Re: Meray bachpan kay din.......aaj bethay bithaye kiyon yaad agaye...?
Main nay bhi...keya aap Pakistan main rehtay hain?
Re: Meray bachpan kay din.......aaj bethay bithaye kiyon yaad agaye...?
^ kia aap ko nahi pata :-|
mai islamabad mai rehta hon :)
PS:- no more rolleyes :D
Re: Meray bachpan kay din…aaj bethay bithaye kiyon yaad agaye…?
Naheen. Aap nay na kabhi bataya, na main nay poocha.
Good, and thank God keh earthquake nay aap ko kuchh naheen kaha. Meray bhai ka dost zakhmi hogeya thha. Woh Bagh geya howa thha. Rehta Karachi main hai. Ab wapis aa geya hai.
Sigh, aur meri dost…
…jesay Allah ki marzi.
Re: Meray bachpan kay din…aaj bethay bithaye kiyon yaad agaye…?
i guess k shied mai nay bataya tha
and is k elawa meray profile mai b likha howa hay and meray Number of posts k oper b
khair
bohat afsoos howa aapke dosat k baray sun k aap nay pehlay b bataya tha
jis din earthquacke aya tha us din mai b islamabad mai he tha and baqi sab ghar walay Gujrat mai thay hometown mai university ja raha tha G-10/3 k qareeb tha jab zalzala aya tha
Re: Meray bachpan kay din.......aaj bethay bithaye kiyon yaad agaye...?
Shayed mujhay yaad na raha ho. Kiyon keh pichhlay do haftoon tak main itni masroof thi keh agar apna naam bhi bhool jati to koi nayi baat naheen.
Haan maloom hai keh pehlay bhi bataya thha. Laikin main yeh pehlay bhi keh chucki hoon keh uskay marnay par main roi naheen thhi because I was shocked. Aur thora dimagh par asar hogeya hai keh har jaga uska zikar karti rehti hoon.
Shukar hai keh aap aur aap ki family mehfooz rahi. Thank God.
Re: Meray bachpan kay din.......aaj bethay bithaye kiyon yaad agaye...?
Haan maloom hai keh pehlay bhi bataya thha. Laikin main yeh pehlay bhi keh chucki hoon keh uskay marnay par main roi naheen thhi because I was shocked. Aur thora dimagh par asar hogeya hai keh har jaga uska zikar karti rehti hoon.
Shukar hai keh aap aur aap ki family mehfooz rahi. Thank God.
ALLAH un ko janat mai jaga ata farmaiay Amean and un ke magfarat farmaiay Amean
yup ALLAH ka lakh lakh sukar hay
meri ik sis kafi arsay tak earthquack ke waja say upset rahi hay abi a k kuch behtar hoie hay ALLAH ka sukar hay
Re: Meray bachpan kay din.......aaj bethay bithaye kiyon yaad agaye...?
yup ALLAH ka lakh lakh sukar hay meri ik sis kafi arsay tak earthquack ke waja say upset rahi hay abi a k kuch behtar hoie hay ALLAH ka sukar hay
Waisay isi wajah say ab Multan capital bananay laga hai...:)
Re: Meray bachpan kay din.......aaj bethay bithaye kiyon yaad agaye...?
^ mai nay to kahi aur ka suna hay :-|
PS:- jab ALLAH ka azaaab ana hay to wo aa kar rahay ga
Re: Meray bachpan kay din.......aaj bethay bithaye kiyon yaad agaye...?
PS:- jab ALLAH ka azaaab ana hay to wo aa kar rahay ga
Aap nay ghalat suna hai. Main to President ki official site par vote bhi kar aai hoon.:D
Haha, ab humara city capital hoga.
Aap nay theek kaha keh azab to kaheen bhi aa sakta hai agar logon kay amal darust na hoon. Laikin aap ko pata hai keh Multan ki 70% khawateen aur larkiyan, yahan tak keh school going larkiyan bhi naqab pehnti hain. Aur Islamabad main bilkul Europian style chal raha hai. Tau faraq to hai na. Naqab Quran main lazim qarar diya hai. In surah Ahzaab.
PS: I am member of www.drzakirnaik.com so thats why I prove my views with reference.
Re: Meray bachpan kay din…aaj bethay bithaye kiyon yaad agaye…?
but aap un gaaaoon k baray kia kahien ge jin ja nam-o-nishaan he mit gia hay
ya bohat zaida mutasir howay hain
islamabad mai to sirf ik building giri hay
and u said k islamabad mai europian style hay to lahore and karachi b kam nahi hain
Re: Meray bachpan kay din.......aaj bethay bithaye kiyon yaad agaye...?
and one thing more k
is azaaab mai sab say zaida halakatian bachoon ke hoiee hain
do u think k wo bohat zaida gunah-e-gaar thay
Re: Meray bachpan kay din…aaj bethay bithaye kiyon yaad agaye…?
Aaan aan. Gunnah gar woh naheen unkay walidain thay. Yeh bhi aik azab daynay ka tareeqa hai keh kisi qaom ki ainda nasal ko khatam kar diya jaye.
Sayyedna Noah :as: ki qaum ki aolaad hona band ho gaye thhi, azab say taqreeban 30 saal pehlay.
Isi tarha jub Firaon nay Sayyedna Mosa :as: aur Sayyedna Ibrahim :as: ki bari main bachoon ka qatal shoro kiya tha tau isko bhi Quran main azab kaha geya hai.
Marnay wala to mar geya, jo zinda bachta hai uskay liye yeh sab bardasht karna mushkil hota hai.