Meray ajnabi, meray Aashna
Tuu misaR kay Aaina-khaanay meiN
teray khaal-o-khad kay siwa mujhay
kahiiN aur kuch na dikhaai day
ye Azaab-e-TauQ-o-rasan meiN
kisi Qasr-e-khawaab-o-khayaal tak
meray zehan ko na rasaai day
mujhay raasta na sujhaai day
tou yeh chaT jo apnay saroN pay hay
yeh jo baam-o-dar ke hisaar haiN
ye jo ratjagoN ki bahaar hey
tou isi pe kya shab-e-umr ki sabhi raahatoN ka madaaR hay?
meray ajnabi, meray Aashna!
keh dhuhwaaN dhuhwaaN si jo hay fizaa
yeh thami thami si jo hay hawaa
yeh jo shor hay diL-e-zaaR ka
kabhi is pay gauR kiya hay kya?
meray ajnabi, meray Aashna
kabhi kaash tujh say maiN keh sakuuN
ke ye sa‘ataiN haiN katthin buhat
meray zakhm-e-diL kay tabeeb Aa
meray tan-badan say bhi Rabt rakh
merii Ruuh kay bhii Qareeb Aa
meray ajnabi, meray Aashna…!