salaam dosto, mere meHboob shaa’ir AsGhar GonDvii ka ek dil ko chhoo jaane waalaa she’r jo mujhe az Had pasand hai…mulaaHizah farmaaiyeL ** ab to yeh tamanna hai kisii ko bhii na dekhuuN suurat jo dikhaa dii hai to le jaao nazar bhii!
**faqat Khaak_nashiiN _______KKF
Re: meraa ek pasandeedah she’r
khaak nasheen ka kiya matlab hai
zameen [Khaak] par baiThne waalaa…ya’nii, most humble!
yani chair pe bethnay wala nai ho sakta