Ma’arika abb kay hua bhee tau phir aisaa hoga
Teray dariya pay meri piyaas ka pehraa hoga
Uss ki aaNkhaiN teray chehray pay bahut bolti haiN
Us nay palkoN saY tera jism taraasha hoga
Kitnay jugnu issi khuwaahish pay meray saath chalaY
Koi rasta teray ghar ko bhee tau jaata hoga
Main bhee apnay ko bhulaaye huay phirta hooN bahut
Aa’inaa us nay bhee kuch roz na daikhaa hoga
Raat jal thal meri aankhoN maiN utar aaya thaa
Soorat-e-ab’r koi toot kay barsaa hoga
Ya masheehaayi ussay bhool gai hai Mohsin
Ya phir aisa hai–mera zakh’m hi gehra hoga