Mera Sohna Pakistan

**Na bijli na cng na safe kisi ki jaan
Mein sadkay kurbaan mera sohna pakistan

Jhootay sachey case bana ke ik doojay ko rolain
Jahan pe common fayda inke wahan ikathey ho lein
Jail training leke niklein bane seyasatdaan
Mein sadkay kurbaan mera sohna pakistan

Khambey sath khalotey rehnde Jo wehle mustandey
Banda in ko lamyaan pa ke changa phandey
Janjjj kisi ki dhol kisi ka aewain e nachhi jaan
Mein sadkay kurbaan mera sohna pakistan

Har ik match pe satta laga ke har bar hardey
Har ik road pe shokhay one-whieling pe karde
Agli nassal ke hath mein hai sheesha cigerrete paan
Mein sadkay kurbaan mera sohna pakistan

Aap broiler ban gaye hum kha kha chicken machini
Sunyaarey bhi sona chad ke bechne lag gaye cheeni
Paanch rupay ke sikkay jitna paanch rupay ka naan
Mein sadkay kurbaan mera sohna pakistan

Jese tota mena ranjha mangey apni choori
Wese her ik file ke andar note zarooori
Warna chakar lagatey ho jayen halkaan
Mein sadkay kurbaan mera sohna pakistan

Chatting message msn ke peechey kese bhaagey
Package karwa ke saari ratain jaagey
Hatam howey in ke parrhan parhaaan
Mein sadkay kurbaan mera sohna pakistan

Ghar araam se bethey hon ge road pe sab ko jaldi
Sabar ka phal jo meetha, nahin hai iski demand
Chahey hon in ke chaalaaan
Mein sadkay kurbaan mera sohna pakistan

Aadat parri dikhawy ki, woh jaan na is se chootey
Masnoooyi se ho gaye sarey sab rishtey tootay
Buray lage sab rishte, zeher lagen mehmaaan
Mein sadkay kurbaan mera sohna pakistan


:jhanda: :jhanda: :jhanda:

**

Re: Mera Sohna Pakistan

:hehe:
zabardast :k:
Me sadqey qurban mera sohna Pakistan … Azizi ki poetry to nae hai? :cb:

Re: Mera Sohna Pakistan

:rotfl:

mere khayal se main ne Hasb-e-haal main yehi ya is se milti julti poem suni thi kuch arsa pehlay :smiley:

Re: Mera Sohna Pakistan

bohat alaa waleedu baba…iss poem main apna naam b kahin fit ker dena tha…tum ne kitne ku ganne k khait lagaye huay hain pakistan ko mazeed sohna banane kliye faragh insaan :smilestar:

Re: Mera Sohna Pakistan

:rotfl:

shazia aapa kesi hain ap :slight_smile:

Re: Mera Sohna Pakistan

allhamdolillah theek hun…ap ki di hui dawai chorr di hai tu is liye umeed hai k shayad bach jaon :hinna:

Re: Mera Sohna Pakistan

:rotfl:

ap ne ab chori wo dawai…?

maine to aik month pehlay eelaan kara dia tha ke chor do usay main ne ghalti se us main marz barhany wale ajza dal diye hain :stuck_out_tongue:

Re: Mera Sohna Pakistan

Haan shayad Azizi ki he hai :smiley:

Re: Mera Sohna Pakistan

Kesay kesay ilzam lgati hai ap :bummer:

Re: Mera Sohna Pakistan

sorry mene wo elaan dawai khane k baad suna :hinna:

Re: Mera Sohna Pakistan

Konsa elaan :konfused:

Re: Mera Sohna Pakistan

kesa ilzaam nikya…ab tum ne metric 1o salon main kia tu koi ilzaam lagay,yahi kaha na baba higher education k liye mureedkay gya hua hai :omg:

Re: Mera Sohna Pakistan

polio k qatron ka :barbie:

Re: Mera Sohna Pakistan

:rotfl:

Ab to dengue se dar lgta hai :bummer:

Re: Mera Sohna Pakistan

:k: