Saaya tak uska nazar nahin aaya
Kabr khudwakar be-khabar nahin aaya
Mujhe sula kar, hua woh rukhsat kahin
Qateel mera wapas ghar nahin aaya
Maut naseeb hui mujhe, saugat ki tarha
Jab tak jeeyi gam-e-safar nahin aaya
Shohrat mili oose mere jaane ke baad
Mujhse milne mere mayyat par nahin aaya
Be-sabra “nigaah” tak-ti rahi magar
Sham-ma bujh gayee par woh nahin aaya