Mein k is shehr ka seemaab-sifat shaayar hon
Meri takhleeq mere fikr ki pehchaan bhi hai
Mere harfoN, mere lafzoN men hai chehra mera
Mera fan ab mera mazhab, mera eemaan bhi hai
Meer-o-Ghalib na sahi phir bhi ghaneemat jaano
Mere yaaroN k sarhaane mera deewaan bhi hai
Mujh se poocho k shikast-e-dil-o-jaaN se pehle
Mere ehsaas pe guzri hai qayaamat kya kya
Saaya-e-daar-o-shab-e-gham ki sakhaawat se alag
Mein ne sochi qad-o-geisu ki alaamat kya kya
Mere toote huay khwaaboN k kharaaboN se pare
Mere bikhray huay jazbay thay salaamat kya kya
Tanz-e-aghyaar se ehbaab k ikhlaas talak
Main ne har nemat-e-uzma ka libaada pehna
Dast-e-qaatil ki kashish aap gawaahi degi
Mein ne har zakhm qaba se bhi ziyada pehna
Meri aankhoN men kharaashen theeN dhanak ki lekin
Meri tasveer ne malboos to saada pehna
Zarbat-e-sang-e-malaamat mere seene pe saji
Tamgha-e-jurrat-o-ezaaz-e-hakoomat ki tarha
Khul k barsi meri sochon pay adaawat ki ghata
AasmaanoN se utarti hui daulat ki tarha
Qarya qarya hui ruswa mere fan ki chaahat
Konay konay men bikharti hui shohrat ki tarha
Mujh pe karki hen kamaanen mere gham-khwaroN ki
Mere ashkon ka tamaasha sar-e-baazaar hua
Mere aangan men hawaadis ki sawaari utri
Mera dil wajh-e-azaab-e-dar-o-deewaar hua
Ishq men izzat-e-saadaat bhula kar aksar
Meer saahab ki tarha main bhi gunah’gaar hua
Apni ujri hui aankhon se shuaayen lay kar
Mein ne bujhti hui sochon ko jawaani di hai
Apni ghazlon k sukhan-taab sitaaray chun kar
Sang’rezoN ko bhi aashufta-bayaani di hai
Husn-e-khaak-e-rah-e-yaaraaN se mohabbat kar k
Mein ne har mor ko ik taaza kahaani di hai
Mujhse roothay hen mere apnay qabeelay waalay
Mere seene men har ek teer-e-sitam toota hai
Lafz-o-maani k taqaazoN se ulajh kar aksar
Mere haathon mera majrooh qalam toota hai
Karb-e-na-qadri-e-yaaraaN k bhanvar men ghir kar
Baar’ha dil ki tarha shauq ka dam toota hai
Main k is shehr ka seemaab-sifat shaayar hoon
Main ne is shehr ki chaahat se sharf paaya hai
Mere aada ka ghazab abr-e-karam hai mujh ko
Mere ehbaab ki nafrat mera sarmaaya hai
Meri bikhri hui ruswaai hai shohrat meri
Mere sehra ki tamaazat mera sarmaaya hai
Mutma’in hon k mujhay yaad rakhay gi dunya
Jab bhi is shehr ki tareekh-e-wafa likhay gi
Mere ghar k dar-o-deewaar mujhay sochein gay
Wus’at-e-dasht mujhay aabla-pa likhay gi
Mera maatam isi chup chaap fiza men hoga
Mera noha inhi galiyoN ki hawa likhay gi…