Mera naam mohabbat hai,kuch nahin waqqat nafrat ki meray aagay

Mera naam mohabbat hai,kuch nahin waqqat nafrat ki meray aagay
kya chattan,kya sang ,kya zamana her shey sirbasujud meray aagay

woh log qissa-e-ibrat banay tarik ki talkh haqeeqaton mein
jo kaha kartey they ke kluch nahin khuda meray aagay

faqat dushman hi tehra aaina, chehra kashi kidaron pay karnay wallonka
hai falsfa aainay ka ke koi aeb chupa nahin meray aagay

bas us rehbar-o-rehnuma ka ho jaay jo aasra to phir
kya fikr banda-e-khaksar ko agar chey na ho koi peechay na ho koi meray aagay

shayad waqt hi kuch barq raftari say guzra ya hum sang na chal sakay
kay meray saay bhi chalnay lagay meray aagay

jab woh mohabbat jatatey hain to hum tamashbin rakh letay hain apna naam
kay hota hai shab-o-roz tamasha meray aagay

hummmmmmm.....very very nice
keep posting ur collection:)