Ye ab khula hai ki koee bhi manzar mera na tha
main jiss mein reh** raha tha wahi ghar mera na tha**
mauj-e-hawaa-e-shahar-e-muqaddar jawab de
darya mere na thay ki samandar mera na tha
phir bhi tu sang_saar kiya ja raha huun main
kehte hain naam tak sar-e-mahzar mera na tha
sab log apne apne qabeelon ke saath thay
ek main tha ki koee bhi lashkar mera na tha
By: Iftikhar Arif