Mera Mulk Jal Raha Hai..

A poem which i received via text message..

Gham-e-Zindagi Sunaun, Mera Mulk Jal Raha Hai
Main Khushi Kahan Se Laun, Mera Mulk Jal Raha Hai

Tumhain Ye Gila Hai Janaa Ke Mizaaj Kion Hain Barham
Kaho Kese Muskuraun, Mera Mulk Jal Raha Hai

Tumhe Eid Ki Khushi, Mujhe Yaad Hai Wo Lekin
Main Ye Kese Bhool Jaun, Mera Mulk Jal Raha Hai

Hai Dagar Dagar Asaarat, Hai Qadam Qadam Shahadat
Sar-e-Raah Dagmagaun, Mera Mulk Jal Raha Hai

Mera Zakhm Zakhm Seena, To Lahu Lahu Safeena
Main Nishaat Kese Paun, Mera Mulk Jal Raha Hai

May Allah protect our homeland Pakistan..

(Aameen)


Nice words, Thank u for shairing Ahmer.......................May allah Protect our homeland...Ameen

Re: Mera Mulk Jal Raha Hai..

[QUOTE]
May Allah protect our homeland Pakistan..
[/QUOTE]

ameen

Re: Mera Mulk Jal Raha Hai..

Really Really like it REDIDENTITY
Khuda Humaray mulk ki Hifazat karay ..ameen

Re: Mera Mulk Jal Raha Hai..

Ameen...