Aalhan
1
Haven’t posted in a long time but here we go…
Dil hay hiray ki kani jism gulabooN vala
mera mehboob hay darasal kitabooN vala
husn hay rang hay shokhi hay ada hay ous meiN
eik he jaam magar kitni sharabooN vala
yaar aaenaa hoa kahtay haiN yarooN kay liyay
tera chehra to abhi tak hay naqabooN vala
mujh say hogi naheiN duniya yeh tijarat dil ki
MaiN karooN kya keh mera zehen hay khuabooN vala
tou rahayga na tere zulm rahaiNgay baqi
din to aana hay kisi roaz hisabooN vala
husn~E~baybaak say ho jati haiN aankhaiN raushan
dil meiN utaara hay magar roop hijabooN vala
jo nazar ata hay hasil naheiN hota ‘Manzar’
zindagani ka safar bhii hay sarabooN vala
Re: mera mehboob hay darasal kitabooN vala
*mujh say hogi naheiN duniya yeh tijarat dil ki
MaiN karooN kya keh mera zehen hay khuabooN vala
zindagani ka safar bhii hay sarabooN vala*
nice ..
Re: mera mehboob hay darasal kitabooN vala
last shair is very nice :k:
Re: mera mehboob hay darasal kitabooN vala
mujh say hogi naheiN duniya yeh tijarat dil ki
MaiN karooN kya keh mera zehen hay khuabooN vala
tou rahayga na tere zulm rahaiNgay baqi
din to aana hay kisi roaz hisabooN vala
behtareeeeeeeeeeeen
reet
5
Re: mera mehboob hay darasal kitabooN vala
yaar aaenaa hoa kahtay haiN yarooN kay liyay
tera chehra to abhi tak hay naqabooN vala
mujh say hogi naheiN duniya yeh tijarat dil ki
MaiN karooN kya keh mera zehen hay khuabooN vala
nice…:k:
Aalhan
6

Thanks guys :)