jeena seekho larki numa girl… zindagi zinda billi ka naam hay!!!
agar raasta badalnay ki himmat nahi to rastay par chalna seekho…
logon ko khush karnay ka simple tareeqa yeh hay kay dosron kay dukhon ko suno aur apnay dukhon ko chupao… ulta karogi to log bhaag jaingay… dosron ki khushion main shamil hojao… hanso aur muskurao… hamain zindagi iss liay nahi mili kay hamesha gamzada hi rahain… khud khush raho dunnia bhi khush nazar aigi… har kaam apnay waqt par hota hay, har haal main Allah ka shukar ada kar kay daikho…