_____ Mera Maazi _____


Na mustaqbil ki fiker hai, na haal ka ghum hai
Mere seene main basa to maazi ka alam hai

Woh maazi, woh baab meri azmaton ka
Woh maazi, woh daur mere faatihon ka

Woh maazi, woh lushkur-e-Islam ka chumun
Woh maazi, woh mere shaheedon ka watan

Mera Maazi mere aslaaf ki ta’meer tha
Mera maazi mere buzurgon ki teqdeer tha

Mera maazi rehmut tha, mere deen per
Mera maazi junnut tha, is serzameen per

Yehi maazi qabar hai, meri husraton ki
Yehi maazi aaina hai, meri ghuflaton ki

Yehi maazi hai ab meri zaat ka mehwer
Yehi maazi hai mere saahil ka tussuwwur

Ab haal main rehna hai, humain umer bhur
Kiya gila maazi se, kiya shikwa, kiyoonker


:rose:

Re: _____ Mera Maazi _____

BUHUT OMDA JNAB

Re: _____ Mera Maazi _____

very nice

Re: _____ Mera Maazi _____

shukran jazeelan!

Re: _____ Mera Maazi _____

Kiss ki diary haath aaiee hai ???

meri apun khud hamari apni ki. Ehem.
Passand kerne ka shukriya.

Jo keha nahin hum samajh gaye
Ab kehne se kiya hona hai
Ham jo bhi kerain, bas lahasil
Aur isi baat ka rona hai

Lo bethe bethe ban gaye shair
Aapi (FT) na per mere bair
Apni chaal mestaani ae
Baqi manayen apni khair

Hay la... aapi pani mile ga?

Re: _____ Mera Maazi _____

^ paani ? aakhri wish hai kiya ?

Re: _____ Mera Maazi _____

^ Jawab se pehle mil seke to aur bhi acha ho ga.. hai naan!

Re: _____ Mera Maazi _____

  • gives water pipe to CF.... suck karo, inshAllah kuch tou aa hi jaaey ga. Sarkari nalkay se lagga hoowa hai pipe...

Re: _____ Mera Maazi _____

Yaani hepatitis D se mere armanon ka khoon hone wala hai...

Re: _____ Mera Maazi _____

yeah.. i want to play khooon ki holee... buhahahhaha...

btw whats that in ur signatures??? thats urs too ?

Aapi usually all the fooling and drooling and then jhoola jhooling… are my copy righted ishtuff.
Just like that siggy. I am afraid… I am too naive to follow. I lead, and end up in the khadda. U wanna phadda! :vivo:

Re: _____ Mera Maazi _____

aap doesnt like to do phadda.. you gadha :naraz:

haha… itna sweet sa laga.

Yehi to hai…woh apna pannn... Dalda banaspati ghee.

Re: _____ Mera Maazi _____

Waada karo tou poora kar, aur kissi ka itemaad kabhi na thoro... Sufi Banspathi ki tarah ;)

Re: _____ Mera Maazi _____

oey excuse me … yehi tou hai apna punn is not dalda ghee :smack: Thats supreme chaaaaaaaaaa…

Jahan Maa wahan dalda… <<<< something like this is Dalda

Re: _____ Mera Maazi _____

Oh achaww ??? Chalo mix up ho gaya... issi baat per...FIREEEE!!!!