harf-e-ulfat tha mitanay say mitaya na gaya
mera khat un se kisi tarah jalaya na gaya
jin ke milnay ki tamanna main guzari thi hayaat
samnay hi say wo guzray to bulaya na gaya
kitnay betaab ujaloon ki tarrap hai mujh main
main wo mitti ka diya hoon jo jalaya na gaya