Mera Khaamosh reh ker bhi unhaiN sub kuch suna dena
ZabaaN say kuch na kehna dekh ker aaNsoo baha dena
Nasheman ho na ho yeh tu falak ka mashGHala Thehra
Keh do tinke jahaaN par dekhna bijlee gira dena
Ijaazat ho tu keh dooN qissa-e-ulfat sar-e-mehfil
Mujhe kuch to fasana yaad hai kuch tum suna dena
MaiN mujrim hooN mujhay iqaraar hai jurm-e-muhabbat ka
Magar pehlay Khata par GHaur ker lo phir saza dena
MaiN is haalat maiN ponhNcha hashr walay Khud pukar uThay
Koi fariyad karanay a raha hai raasta dena