mera kaarwan chala

kisko kahoon kahaan ye mera karwaan chala
baadal mere naseeb ka ban kar duhaan chala

main sochta hoon kia mujhey takdeer ne dia
bankar zameer khud he mera bud gumaan chala

kuch bhool sa gaya hoon main maazi ko haal main
yadaaon ka silsila mera jaane kahan chala

tanhaiyoun ka mere sabab aur kiya kahoon
main to waheen chala ye muqadar jahaan chala

na dhoondh paayega koi mujhko safar ke baad
khud main mita ke apne kadam ke nishaan chala

har gul mere naseeb ka murjha gaya younheen
ik wo bahaar hoon main jo ban ker khazaan chala

Re: mera kaarwan chala

As usual.. very nice.. :slight_smile:

Re: mera kaarwan chala

Wonderful… Very Beautiful… :flower1:

kisko kahoon kahaan ye mera karwaan chala
baadal mere naseeb ka ban kar duhaan chala

Zabardast …