Re: M3rA INTIKHAAB (Zindagi k Naam)
Kya kehne mujhe pasand aya
thx for the shair madiha !
Re: M3rA INTIKHAAB (Zindagi k Naam)
Kya kehne mujhe pasand aya
thx for the shair madiha !
Re: M3rA INTIKHAAB (Zindagi k Naam)
Bohat khoob** sId** & Madiha..:k:
Re: M3rA INTIKHAAB (Zindagi k Naam)
-Bebasi-
jab jazbon ** **ko koi rasta na milta ho sochne ka bhi samjhne ka bhi to aisay mein kalam rakh kar rone lagti hon !
jawaab e Bebasi...
ji men aata hy ek roz men cheekhon aesy...
saari dunyan sy kahy jaaon hikayat uski....
(aapki nazam lajawab hy aapki apni hy? kalam nahin qalam likhty hen)
Re: M3rA INTIKHAAB (Zindagi k Naam)
jawaab e Bebasi...
ji men aata hy ek roz men cheekhon aesy...
saari dunyan sy kahy jaaon hikayat uski....
(aapki nazam lajawab hy aapki apni hy? kalam nahin qalam likhty hen)
Jee Nahi Meri Nahi Hai Shayad Noshi Gillani Ki Hai jahan tak mujhe yaad parta hai !
Thanks for reading my thread !
Re: M3rA INTIKHAAB (Zindagi k Naam)
Daagh Dehalvi Ki Aik Ghazal **
**Part 1
Tumhara Dil Mere Dil Ke Barabar Ho Nahi Sakta
Woh Sheesha Ho Nahi Sakta Ye Pathar Ho Nahi Sakta
Kisi Ko Chain Kya Ay Banda Parwar Ho Nahi Sakta
Jo Tum Chaaho To Ho Sakta Hai,Kion Kar Ho Nahi Sakta
Kabhi Naasi'h Ki Sun Laita Hoon Phir Barson Tarapta Hoon
Kabhi Hota Hai Mujhse Sabar Aksar Ho Nahi Sakta
Na De Woh Daad Gar Meri,To Ye Hai Sakht Majbuuri
Ke Banday Ka To Kuch Daawa KHUDA Par Ho Nahi Sakta
Ye Mumkin Hai Tujh Par Ho Bhi Jaaye Ikhtayaar Apna
Magar Kaabu Hamara Apnay Dil Par Ho Nahi Sakta
Jalaaye Gi Mujhe Kya Khaak Ya RAB Aaag Doozakh Ki
Ke Jis Se Khush Mera Daaman-e-Tar Ho Nahi Sakta
BEiNG lonEly !!! siD !!!
Re: M3rA INTIKHAAB (Zindagi k Naam)
Dil pe ik tarfa qayamat karna
Muskuraate huwe rukhsat karna
Achi aankhen jo mili hainn us ko
Kuch to laazim huwa wahshat karna
Jurm kis ka tha, saza kis ko mili
Kya gayi baat pe hujjat karna
Koun chaahe ga tumhain meri tarah
Ab kisi se na mohabbat karna
Ghar ka darwaaza khula rakha hai
Waqt mil jaaye to zahmat karna
Re: M3rA INTIKHAAB (Zindagi k Naam)
Jux For You !
Doob Rahi Hai Saansein Magar Ye Gumaan BaaQi Hai,
Kisi Shakhs Ke Aane Ka Abhi Imkaan BaaQi Hai,
Muddat Hui Ek Shakhs Ko Bichhde Lekin,
Aaj Tak Mere Dil Pe Ek Nishaan BaaQi Hai,
Wo Humnashin Chhin Gaya To Koi Gam Nahi,
Abhi To Mere Sar Pe Ye Aasmaan BaaQi Hai,
Kashti Zara Kinare Ke Qareeb Hi Rakhna,
In Pagal Lehron Mein Abhi Toofan BaaQi Hai,
Tumhare Hi Ashkon Ne Lab Si Diye Warna,
Abhi To Mere Dukhon Ki Bahut Daastan BaaQi Hai
Gamon Se Keh Do Ke Abhi Na Rakht-E-Safar Baandhein,
Ke Abhi To Mere Jism Me Kuch Aur Jaan BaaQi Hai,
Ja Chuke Hai Sab Log Khamosh Padi Hai Basti,
Magar Kisi Aas Pe Kada Mera Makaan BaaQi Hai,
BEiNG lonEly !!! siD !!!
Is se pehlay k dasht e imkaan mein
wasle jana ki aarzu na rahay
is se pehlay k baar e ghum se kaheen
tujh ko panay ki aarzoo na rahay
is se pehlay k dasht e khwahish se
farsh e afsurdgi bichay sar e rah
laut aao k muntazir hai nigah
is se pehlay k loh e kismet per
baab e ulfat tamam ho jayey
is se pehlay k shaam ho jayey!
beIng lonEly !!! sId !!!
kisi ki aankh meiN khud ko talaash karna hai
phir is k baad hamain aaey'noo say darna hai
falak ki band gali ke faqeer hain ye taaray
k ghoom phir k yaheen se inhaiN guzarna hai
jo zindagi thee meri jaaN terey saath gaa'ee
bas ab tu umer k naqshay meiN waqt bharna hai
jo tum chalo tu abhi do qadam meiN kat jaayay
jo faasila mujhe saade'ooN mein paar karna hai
tu kyoN na aaj yaheeN per qayyaam ho jaayay
k shab qareeb hai aakhir kaheeN theharna hai
sehar huwi tu sitarooN ne moond lee ankhaiN
wo kya karaiN ke jinhaiN intezaar karna hai
Re: Mera Intikhaab Zindagi Ke Naam I
Re: Mera Intikhaab Zindagi Ke Naam I
Wowww..very nice sharing BL:K:
Re: Mera Intikhaab Zindagi Ke Naam I
Gul shaakh se bichray tou kahin ka nahi rehta
Tum khud ko juda meri zaat se kuch soch ker kerna..
Re: Mera Intikhaab Zindagi Ke Naam I
I love Parveen Shakir's Poetry It always make me sad and smile at the same time :)
Re: Mera Intikhaab Zindagi Ke Naam I
^ yup she is a legend :)
Re: Mera Intikhaab Zindagi Ke Naam I
**Wonderful collection and superb contributions … :k: **
**KOI TO HOTA….
mai jis k dil ki kitaab benta
mai jis ki chahet ka khawab benta
mai hijr k mosem ki lembi raaton mein
yaad ben ker azaab benta
KOI TO HOTA…..
jo meri khawahish mein uthh ker raaton ko khoob rota
dukhon ki chader lapeit ker hajoom_e_dunya se door hota
mai rooth jata manata mujh ko
k chahe mera kasoor hota
KOI TO HOTA….
mai jis k itna kareeb hota
na paas koi rakeeb hota
mai itna uus ka habeeb hota
ye silsila bhi ajeeb hota
KOI TO HOTA…….**.