Mera intekhaab

maine dekha tha un dino mien usse
jab wo khiltay gulab jesa tha
uski palkoon se neend chanti thi
us ka lahja sharab jesa tha
us ki zulfoon se bhegti thi ghatta
us ka rukh mahtaab jesa tha
log parhtay thay khal o khad us ke
wo adab ki kitab jesa tha
bolta tha zaban khushbu ki
log suntay thay dharkanooon mien usse
mien dekha tha un dino mien usse
sari ankhien thein aainay uske
saray chahroon mien intekhab tha wo
ye haqeqat hai ke koi khawab tha wo
sab se ghul mil ker ajnabi rahna
ek dariya numa serab tha wo
meri neendien bhi uski nazr hoein
meine paya tha ratjagoon mein usse
meine dekha tha un dino mien usse
jab wo hans hans ke raat karta tha
dil ke khemay mein raat karta tha
rang parhtay thay aanchaloon mien usse
miene dekha tha un dino mien usse
ye magar daer ki kahani hai
ye magar daer ka fasana hai
abh us ke aur mere milaap ke haail
sadiyon bhara zamana hai
abh ke haal apna bhi dasht e hijra ki shaam jesa hai
najanay in dino wo kesa hoga??
men dekha tha un dino mein usse

Mohsin Naqvi

Re: Mera intekhaab

yoon to pehle bhi huwe us se kayi baar juda
lekin ab ke nazar aate hain kuch aasaar juda

gar gham_e_sood_o_ziyaan hai to thehar ja ae dil
ke ussi mor pe yaaron se huwe yaar juda

do ghari us se raho door to yoon lagta hai
jis tarah saaya_e_deewaar se deewaar juda

yeh judaayi ki ghari hai ke jhari saawan ki
"main juda giriya kanaan,abar juda,yaar juda"

kajkalahon se kahe kon ke ae be khabro
toq_e_gardan se naheen turah_e_dastaar juda

is qadar roop yaaron ke,ke khaof aata hai
sar_e_mekhaana juda or sar_e_darbaar juda

koo_e_jaanaan main bhi khasa tha tarahdaar faraz
lekin us shakhas ki saj dhaj thi sar_e_daar juda

Faraz

Re: Mera intekhaab

meray kamray main ka'i tasweerain hain
kuch deewaar pay awaizaan hain
do ik table pay rakkhi hain
magar sab bolti hain
meri tanhai main aksar yeh
wajood e makhfi ki sargooshi
bara rass gholti hain
kay mujh say bolti hain
sunno yeh na samajhna keh
yahaan koi naheen saathi
koi gham ho, koi masala
hamain awaaz delena
hamain woh raaz dedena
hamain bejaan samajhnay ki
kabhi bhi bhool na karna
kabhi khudd ko bhulla do tu
hamain awaaz delena
hammain rastoon ka pata hay
kay yadoon kay safar pay
hum tumharay saath niklay thay.

Re: Mera intekhaab

Wah… Both Zabardst… :flower1:

Mohsin Naqvi is Really Outstanding… And Faraz ki Bhi kia baat hay .. :slight_smile:

Re: Mera intekhaab

shukriya...nawazish...

jee sahi kaha aap ne mohsin aur faraz sahab ki kiya baaat hai. my fav poets

Re: Mera intekhaab

ab ke tajdeed-e-wafa ka nahi imkan jaanaa
yaad kya tujh ko dilaayein tera paimaan jaanaa

yun he mausam ki adaa dekh ke yaad aya hai
kis qadar jald badal jaate hain insan jaanaa

zindagi teri ata thi so tere naam ki hai
hum ne jaise bhi basar kii teraa ehasan jaanaa

dil ye kahta hai ki shayad ho fasurdaa to bhi
dil kii kya baat karein dil to hai naadaan jaanaa

awal-awal ki muhabbat ke nashe yaad to kar
bepiye bhi teraa chehra thaa gulistan jaanaa

aakhir aakhir to ye aalam hai ki ab hosh nahi
rag-e-meenaa sulag uthi ki rag-e-jaan jaanaa

muddaton se ye aalam na tawaqqo na ummeed
dil pukaare he chalaa jaataa hai jaanaa jaanaa

hum bhi kya saadaa the hum ne bhi samajh rakha tha
Ghum-e-dauraan se juda hai ghum-e-jaanaa jaanaa

ab ki kuch aisi saji mahafil-e-yaaraa jaanaa
sar-ba-zaanu hai koi sar-ba-girebaan jaanaa

har koi apani he aawaaz se kaanp uthata hai
har koi apane he saaye se hiraasaan jaanaa

jis ko dekho wohe zanjiir-ba-paa lagataa hai
shahar ka shahar hua daakhil-e-zindaan jaanaa

ab tera zikr bhi shayad he ghazal mein aaye
aur se aur huaa dard ka unwaan jaanaa

ham ki rurhti hui rut ko bhi manaa lete the
ham ne dekha he na thaa mausam-e-hijraan jaanaa

hosh aaya to sabhi khwaab the rezaa-rezaa
jaise urhte huye auraaq-e-pareshaan jaanaa

Re: Mera intekhaab

Welcome to GS dignity:-) thanks for sharing your intekhab..

Re: Mera intekhaab

thnx to u....for reading my thread and appreciating it:)

Re: Mera intekhaab

Bohat hi khubsoorat Intekhaab hai aapka dignity…:k:

Re: Mera intekhaab

Great selection ** Dignity **