I am wearing a choori daar (tang) pajama, which I will start the process of wearing an hour before the Eid Sala’t ( for obvious rreason),
The karahi daar shaandar jhillmilaata, jag-magg karta kurta with sherwani collar and chaandi kay buttons,
Salim Shahi joota ya phir Kohla poori chappal,
Sar par aik shaandaar chamakti damakti bharakti howi salma-sitaaray wali topi,
*Right hand main zambeel (jiss main zaroori kaaghzaat aur beema policy) and left hand main paan ki dibbiya, Aik naya kaala mota chasma, … aur
*
Plan main begam ko clifton ki sair karana bhi shamil hay, aur haan begam ka new shuttle cork wala burqa bhi to khareedna hay
16+ahem Bachay … lekin wo kam-bakahat pankhay, roshndaan, almari par say neechay utrain to yeh banda un kay baaray main kuch sochay na soch raha hoon Kailay kay darakht kay chilkoN ki sherwanian bana kar un sab ko pehna doon
begam ka new burqa ? puaranay burqay ko dye na karwadoon ? qayamat lagaingi wo new (new jaisay) burqay main
wo secret dasain warna mukhbir say poochna par jaiga
app bhool gayee hum donoo do alag alag bar're azam kay baashinday hain
is waqt mere samnay rooh afza ka glass or apple rakha hoa hay : )
aap bhool gayeeN kaY hamaaraY barr-e-aazam maiN iss waqt roza kaa waqt hai aur rozay daaroN kaY saamnay pemaanaa labraiz karnay saY inna saara gunnah miltaa hai: