mene kaha naam mera aitebaar hai!!!!

4 savenstar2003.

***us ne kaha mujhse kitna pyar hai?
mene kaha,sitaron ka koi shumaar hai?
usne kaha k kon tumhen ha bohot aziz?
mene kaha dilpe jiska ikhtiaar hai
usne kaha konsa tohfa main tumhen doon?
mene kaha wohi sham jo abhi tak udhaar hai.
usne kaha khizan men mulaqat ka kya jawaz?
mene kaha qurb ka matlab hi bahaar hai
usne kaha senkdon ghum zindagi men hen
mene kaha ghum nahi jab sath ghumgusaar ha
usne kaha saath kahan tak nibhao ge?
mene kaha jitni yeh saans ki taar hai
usne kaha mujhko yaqeen aaye kis tarah?
mene kaha naam mera aitebaar hai!!!


Re: mene kaha naam mera aitebaar hai!!!

Very Nice :k:

Re: mene kaha naam mera aitebaar hai!!!!

Wonderful.. :)

Re: mene kaha naam mera aitebaar hai!!!

Bohat khoob taliba2007 :k:

Re: mene kaha naam mera aitebaar hai!!!!

Nice sharing :)

Re: mene kaha naam mera aitebaar hai!!!!

hahahahahahaha bohat achi hai miss taliba JEE hahahaha bas bey-itebari hum ko hi thi. mere naam karne k liye thanks.

Re: mene kaha naam mera aitebaar hai!!!

buhut khub :k:

Re: mene kaha naam mera aitebaar hai!!!!

very nice **
**it's great

Re: mene kaha naam mera aitebaar hai!!!

:k: