Gadha
1
Umer-e-Rawaan ko gham kaa pekar na honay dena
Aankhain azeez rakhnaa, pathar na honay dena
Tum mujh ko zehr dena, laikin mohabbatoun say
Lehjay kee chaand’ni ko khanjar na honay dena
Seraab kartay jaanaa dil kay lahu say lougo!
Lafzoun kee khetiioun ko banjar na honay dena
Tum laakh toot jaanaa par, hijr kee shaboun main
Meli Rifaqatoun kee chaadar naa honay dena
Inn sukh kay mosamoun par kam kam yaqeen rakhna
Dil ko kabhi dukhoun say baahir naa honay dena
—Noshi Geelaani
hmmm
gadha yaar wese nick gudha he herketein gudhe wali kia kero itni achi poems tumpe suit nahi kerti :D
well done good job
lagta hia poetry main insan tu kia Gadhay be zoaq walay hain ;)
one of ma fav thanks 4 sharin........:)
Re: :::Meli Rifaqatoun kee chaadar naa honay dena:::
is ka kia matlab:confused: shair ji samjhao