Movie: Baghbaan
Watched this movie today…very nice and touchy family story…i liked this song a lot…very well sung and lyrics are justtttttttt wonderful
hope you all will like it as well…
mein yaha tu wahan
zindagi hai kaha…
tu hi tu hai sanam dekhta hoon jahan
neend aati nahi yaad jaati nahi
neend aati nahi yaad jaati nahi
bin tere ab jiya jaaye na
teri surat ab ek pal kyon nazar se hat ti nahi
raat din to kat jaate hai umr tanha kat ti nahi
chah ke bhi na kuch keh sakoo tujh se na mein
dard kaise karoo mein bayan
jab kahi bhi aahat hui yuun laga ke tu aa gaya
khushboo ke jhoonke ki tarah meri saanse mehka gaya
ek woh daur tha hum sada paas the
ab to hai faasle darmiyaan
beeti baatein yaad aati hai jab akela hota hoon mein
bolti hai khamoshiyan sab se chup ke rota hoon mein
ek arsa hua muskuraye hue
aansoono mein bhari daastaan
mein yaha tu wahan
zindagi hai kaha…
*