~Mein tumhein yaad karti hoon~

Mein tumhein yaad karti hoon Tum se door Jab udaasi mere band palkoon pe apne haath rakhti hai Aur meri benae'ee ghehri kaasni rangoon se bhar jaati hai Mein tumhein yaad karti hoon Jab tanhaee mere seene pe haath rakhti hai Aur so jaati hai Aur mein issay jaga nahee sakti Issay thappak bhi nahee sakti Bas tumhein yaad karti hoon Jab khaamoshi mere kaan chubhooti hai Aur shorr mujh per hansta hai Aur dukh mujhe kuch bhi nahee kehta Be-zarrar ho jaata hai Rukhsaroon pe behtay huwe aanso'oun ke nishanaat Rait pe ghaseetay gaye badan ki lakeer Aur aaeno'oun per parne waali daraarain Jab mera hissa ban jaati hain Mein tumhein bahut yaad karti hoon...

Wonderful

Bohat hi khoob....

Mein tumhein bahut yaad karti hoon...

Chahay jahan bhi rahoon tery sath rehtiN hooN!!

tumhaari yaad ke jab zaKhm bharane lagate haiN
kisi bahaane tumhaiN yaad karane lagate haiN