Re: mein soh raha tha aur koi bedaar mujh mein thaa
Himayat Ali Shayar ka kalam:
mein soh raha tha aur koi bedaar mujh mein thaa shayad abhi talak mera pindaar mujh mein thaa
woh kaj adaa sahi meri pahachan bhi tha woh apney nashe mein mast joh fankar mujh mein tha
mein Khud ko bhulata bhi to kiss tarah bhulata Eik shakhs tha kay aina bar daar mujh mein tha
shayad usee sabab sey tavaazun saa mujh mein hai Eik muhatasib liye hue talawar mujh mein thaa
apani kisi amal pey nidaamat nahin mujhe tha nek dil bahut joh gunaah gaar mujh mein thaa
**ehsan bhai **kahaN sey chun chun kar ghazleiN la rahey heiN aap, kuch hameiN bhi to pata chaley :)