mein soh raha tha aur koi bedaar mujh mein thaa

Himayat Ali Shayar ka kalam:

mein soh raha tha aur koi bedaar mujh mein thaa
shayad abhi talak mera pindaar mujh mein thaa

woh kaj adaa sahi meri pahachan bhi tha woh
apney nashe mein mast joh fankar mujh mein tha

mein Khud ko bhulata bhi to kiss tarah bhulata
Eik shakhs tha kay aina bar daar mujh mein tha

shayad usee sabab sey tavaazun saa mujh mein hai
Eik muhatasib liye hue talawar mujh mein thaa

apani kisi amal pey nidaamat nahin mujhe
tha nek dil bahut joh gunaah gaar mujh mein thaa

Re: mein soh raha tha aur koi bedaar mujh mein thaa

ps: Gud one :slight_smile:

Re: mein soh raha tha aur koi bedaar mujh mein thaa

**ehsan bhai **kahaN sey chun chun kar ghazleiN la rahey heiN aap, kuch hameiN bhi to pata chaley :)