Zindagi mein tu sabhi pyar kiya kartay hain
Mein tu mar kar bhi meri jaan tujhe chaahonga
Tu mila hai tu yeh ehsaas huwa hai mujh ko
Yeh meri umer muhabbat ke liye thori hai
Ik zara sa gham-e-dauraan ka bhi huq hai jis per
Mein ne yeh saans bhi tere liye rakh chori hai
Tujh pe ho jaaonga qurbaan tujhe chaahonga
Mein tu mar kar bhi meri jaan tujhe chaahonga
Zindagi mein tu sabhi…
Apne jazbaat mein naghmaat rachaane ke liye
Mein ne dharkan ki tarha dil mein basaaya hai tujhe
Mein tassavur bhi judaee ka bhala kaise karoon
Mein ne kismat ki lakeeroon se churaaya hai tujhe
Pyar ka ban ke nighebaan tujhe chaahonga
Mein tu mar kar bhi meri jaan tujhe chaahonga
Zindagi mein tu sabhi…
Teri har chaanp pe jaltay hain khayaloon mein chiraag
Jab bhi tu aaye jagaata huwa jaadoo aaye
Tujh ko choo loon tu phir ay jaan-e-tamanna mujh ko
Deir tak apne badan se teri khushboo aaye
Tu bahaaron ka hai unwaan tujhe chaahonga
Mein tu mar kar bhi meri jaan tujhe chaahonga
Zindagi mein tu sabhi pyar kiya kartay hain …
Mein tu mar kar bhi meri jaan tujhe chaahonga …